badan ka nauha
maiñ ne kal ek ḳhvāb dekhā
ki maiñ ḳhvāb dekh rahā huuñ
merī niiñd mere jism ke andar rah rahī hai
mujh tak muntaqil nahīñ ho pā rahī
āñkhoñ meñ basārat hai
magar mujhe dikhā.ī nahīñ de rahā
maiñ chaltā huuñ
magar paañv harkat nahīñ kar paate
ghuTan ke maare saañs letā huuñ
to ret muñh se nikaltī hai
maiñ ḳhvāb se be-dār ho jaatā huuñ
ḳhauf kī thakāvaT mere jism se utarne lagtī hai
to maiñ mahsūs kartā huuñ
maiñ dīvāroñ se is tarah guzar rahā huuñ
jaise shīshe se raushnī...
jaise darvāze kī durzoñ se havaa...
maiñ haath lambe kar ke sitāre toḌ laatā huuñ
aur paañv phailā ke zamīn meñ utar jaatā huuñ
mujh meñ yak-dam ḳhvāhish paidā hotī hai
ki maiñ chīḳhūñ
chīḳhne kī andoh-nāk kaifiyat ke bojh tale aa kar
maiñ ek baar phir dab jaatā huuñ
main ne kal ek KHwab dekha
ki main KHwab dekh raha hun
meri nind mere jism ke andar rah rahi hai
mujh tak muntaqil nahin ho pa rahi
aankhon mein basarat hai
magar mujhe dikhai nahin de raha
main chalta hun
magar panw harkat nahin kar pate
ghuTan ke mare sans leta hun
to ret munh se nikalti hai
main KHwab se be-dar ho jata hun
KHauf ki thakawaT mere jism se utarne lagti hai
to main mahsus karta hun
main diwaron se is tarah guzar raha hun
jaise shishe se raushni
jaise darwaze ki durzon se hawa
main hath lambe kar ke sitare toD lata hun
aur panw phaila ke zamin mein utar jata hun
mujh mein yak-dam KHwahish paida hoti hai
ki main chiKHun
chiKHne ki andoh-nak kaifiyat ke bojh tale aa kar
main ek bar phir dab jata hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.