badan ki fasilen
raat phir yuuñ huā
adh khule āsmāñ par parindoñ kī chīḳhoñ meñ lipTe hue
ḳhvāhishoñ ke badan
tilmilāne lage
mere kānoñ meñ mere dahakte hue ḳhuun kī
rang kī nuur kī sīTiyāñ sī bajīñ
phir irādoñ kī chhātī meñ niilī rageñ munjamid ho ga.iiñ
phir badan kī fasīloñ ke saa.e bane
jumbihsoñ meñ vahī sarsarāhaT huī
phir mire jism kī dūdhiyā chāñdnī
har taraf chhā ga.ī
aur maiñ
jism-o-jāñ kī shikan-dar-shikan uljhanoñ ko sameTe hue
so gayā
raat phir yuuñ huā
raat phir yun hua
adh khule aasman par parindon ki chiKHon mein lipTe hue
KHwahishon ke badan
tilmilane lage
mere kanon mein mere dahakte hue KHun ki
rang ki nur ki siTiyan si bajin
phir iradon ki chhati mein nili ragen munjamid ho gain
phir badan ki fasilon ke sae bane
jumbihson mein wahi sarsarahaT hui
phir mere jism ki dudhiya chandni
har taraf chha gai
aur main
jism-o-jaan ki shikan-dar-shikan uljhanon ko sameTe hue
so gaya
raat phir yun hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.