badan se puri aankh hai meri
badan se puurī aañkh hai merī
jaao jā-namāz se apnī pasand kī duā uThā lo
har rañg kī duā maiñ maañg chukī
bāġhbāñ dil kā biij tere paas bhī na hogā
dekho dhueñ meñ aag kaise lagtī hai
mere pairahan kī tapish miTTī kaise jalātī hai
badan se puurī aañkh hai merī
nigāh jo tane kī zarūrat hī kyā paḌī hai
merī bārishoñ ke tiin rañg haiñ
TuuTī kamān pe ek nishān ḳhatā kā paḌā hai
ham chāheñ to sūraj hamārī roTī pakā.e
aur ham sūraj ko tandūr kareñ
faisla chukā diyā ḳhatā apnī bhuul ga.e
nazar karne aa.e the chuTkī bhar aañkh
aañkh terī galiyoñ meñ to bāzār haiñ
zamīn aañkh chhoḌ kar samundar meñ so rahī
jañgal to sirf talāsh hai
ghar to kā.enāt ke pichhvāḌe hī rah gayā
shikār kamān meñ phañs phañs kar marā
tum kaise shikārī
āñkheñ tevaroñ se jal rahī haiñ
jism zindagī kī mulāzmat meñ hai
tanhā.ī kashkol hai
ham ne ā.ankhoñ se shamshīr khīñchī
aur ruḳhsat kī tasvīr banā.ī
raat god meñ sulā.ī
aur chāñd kā juutā banvāyā
ham ne raah meñ apne pairoñ ko janā
badan se puri aankh hai meri
jao ja-namaz se apni pasand ki dua uTha lo
har rang ki dua main mang chuki
baghban dil ka bij tere pas bhi na hoga
dekho dhuen mein aag kaise lagti hai
mere pairahan ki tapish miTTi kaise jalati hai
badan se puri aankh hai meri
nigah jo tane ki zarurat hi kya paDi hai
meri barishon ke tin rang hain
TuTi kaman pe ek nishan KHata ka paDa hai
hum chahen to suraj hamari roTi pakae
aur hum suraj ko tandur karen
faisla chuka diya KHata apni bhul gae
nazar karne aae the chuTki bhar aankh
aankh teri galiyon mein to bazar hain
zamin aankh chhoD kar samundar mein so rahi
jangal to sirf talash hai
ghar to kaenat ke pichhwaDe hi rah gaya
shikar kaman mein phans phans kar mara
tum kaise shikari
aankhen tewaron se jal rahi hain
jism zindagi ki mulazmat mein hai
tanhai kashkol hai
hum ne aaankhon se shamshir khinchi
aur ruKHsat ki taswir banai
raat god mein sulai
aur chand ka juta banwaya
hum ne rah mein apne pairon ko jana
- Book : Aankhen(rekhta website) (Pg. 106)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.