baDe bhayya
maiñ chhoTā huuñ mire bhayyā baḌe haiñ
jahāñ dekho vahīñ sar par khaḌe haiñ
mujhe har vaqt karte haiñ nasīhat
na jaane kyuuñ mire pīchhe paḌe haiñ
mujhe paḌhne ko yuuñ kahte haiñ aksar
ki jaise ḳhud vo m.a tak paḌhe haiñ
paḌhāte haiñ vo jab tārīḳh mujh ko
maiñ ye kahtā huuñ ye sab qisse gaḌhe haiñ
kareñ 'irfān' ab ham kis se shikva
vo paapā ke bahut hī sar-chaḌhe haiñ
main chhoTa hun mere bhayya baDe hain
jahan dekho wahin sar par khaDe hain
mujhe har waqt karte hain nasihat
na jaane kyun mere pichhe paDe hain
mujhe paDhne ko yun kahte hain aksar
ki jaise KHud wo ma tak paDhe hain
paDhate hain wo jab tariKH mujh ko
main ye kahta hun ye sab qisse gaDhe hain
karen 'irfan' ab hum kis se shikwa
wo papa ke bahut hi sar-chaDhe hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.