baDe shahar ka KHwab
baḌā shahr baḌā shahr, baḌā shahar baḌā shahr
kisī ke liye tū bā.is-e-tamāniyat
kisī ke liye tū sāmān-e-masarrat
aur kisī ke liye hai tuu, sarāsar qahr
baḌe shahar kī chaah meñ, jaane kitne tabāh hue
kitne rūThe apnoñ se
kitne chhūTe ham-vatanoñ se
lamha lamha ulajhte rahe
sachche jhūTe sapnoñ se
baḌe shahar kā ḳhvāb liye, har pal nayā azaab liye
bhāgte rahe tamām umr, pesh-e-nazar sarāb liye
lā-hāsilī kā ḳhvāb liye
ghoḌe ke aage ghaas ho jaise
har saañs na.ī aas ho jaise
jiine kī umañg meñ
marte rahe, marte rahe
jannat paañv kī chhoḌ ke, ThanDak gaañv kī chhoḌ ke
ruuh jaltī rahī tamām umr, badan kī chitā meñ
zindagī azaab liye
baḌe shahar kā ḳhvāb liye
jalte rahe, tapte rahe, baḌe banñe ke firāq meñ
shortcut lete rahe
rātoñ-rāt, amiir banñe kī taak meñ
ham chalte rahe, chalte rahe
baḌe shahar kī chaah meñ, jaane kaise kaise gunāh kiye
yahāñ tak ki āñkheñ hamārī pathrā ga.īñ, paañv hamāre shal hue
insāniyat ham se chhin ga.ii, ham darindoñ ke misl hue
ḳhushiyoñ kī talāsh meñ, ham jīte-jī laash hue
is qadar behis-o-bad-havās hue, ham ḳhud se hī udaas hue
baḌā shahr baḌā shahr, baḌā shahr baḌā shahr
be-īmāniyoñ kī Dagar, bad-unvāniyoñ kā nagar
sach hai terī chaah meñ, jaane kitne tabāh hue
saarā gaañv apnoñ se ḳhālī ho gayā
mātamī fazā meñ, ab har taraf hasrat-o-yās hai
phir bhī baḌe shahar kī pyaas hai ki kabhī bujhtī nahīñ
ek ḳhilqat hai ki kabhī ruktī nahīñ!
ek hijrat hai ki kabhī ruktī nahīñ!
zindagī kisī se haar jaa.e, ye kabhī mumkin nahīñ
zindagī kisī se maat khā.e, ye bhī ab mumkin nahīñ
zindagī ruktī nahīñ!!
zindagī jhuktī nahīñ!!
baDa shahr baDa shahr, baDa shahar baDa shahr
kisi ke liye tu bais-e-tamaniyat
kisi ke liye tu saman-e-masarrat
aur kisi ke liye hai tu, sarasar qahr
baDe shahar ki chah mein, jaane kitne tabah hue
kitne ruThe apnon se
kitne chhuTe ham-watanon se
lamha lamha ulajhte rahe
sachche jhuTe sapnon se
baDe shahar ka KHwab liye, har pal naya azab liye
bhagte rahe tamam umr, pesh-e-nazar sarab liye
la-hasili ka KHwab liye
ghoDe ke aage ghas ho jaise
har sans nai aas ho jaise
jine ki umang mein
marte rahe, marte rahe
jannat panw ki chhoD ke, ThanDak ganw ki chhoD ke
ruh jalti rahi tamam umr, badan ki chita mein
zindagi azab liye
baDe shahar ka KHwab liye
jalte rahe, tapte rahe, baDe banne ke firaq mein
shortcut lete rahe
raaton-raat, amir banne ki tak mein
hum chalte rahe, chalte rahe
baDe shahar ki chah mein, jaane kaise kaise gunah kiye
yahan tak ki aankhen hamari pathra gain, panw hamare shal hue
insaniyat hum se chhin gai, hum darindon ke misl hue
KHushiyon ki talash mein, hum jite-ji lash hue
is qadar behis-o-bad-hawas hue, hum KHud se hi udas hue
baDa shahr baDa shahr, baDa shahr baDa shahr
be-imaniyon ki Dagar, bad-unwaniyon ka nagar
sach hai teri chah mein, jaane kitne tabah hue
sara ganw apnon se KHali ho gaya
matami faza mein, ab har taraf hasrat-o-yas hai
phir bhi baDe shahar ki pyas hai ki kabhi bujhti nahin
ek KHilqat hai ki kabhi rukti nahin!
ek hijrat hai ki kabhi rukti nahin!
zindagi kisi se haar jae, ye kabhi mumkin nahin
zindagi kisi se mat khae, ye bhi ab mumkin nahin
zindagi rukti nahin!!
zindagi jhukti nahin!!
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.