badla
chīḳheñ sun kar dauḌā aaya
tiin baras kā thā jab maiñ ne
pahlī baar ye manzar dekhā
gaalī thappaḌ ghūñsa dhakkā
kamre meñ ik mard-e-vahshī
aurat ke nazdīk khaḌā thā
aur use bāloñ se us ke
khīñch rahā thā
farsh pe baiThī aurat rotī jaatī thī
maiñ ne dekhā
aur aurat kī jānib lapkā
mard ne aurat ke bāloñ ko
hāthoñ se āzād kiyā thā
aurat merī jānib bhāgī
ḳhauf se āñkhoñ meñ aañsū the
dahshat se peshāb bhī niklā
is se pahle mard hamārī jānib aatā
maiñ bhī us aurat ko bachāne
rote rote
us ke aage khaḌā huā yuuñ
jaise ik dīvār khaḌī ho
lekin ye dīvār bahut hī chhoTī niklī
khīñch ke bāloñ se aurat ko
mard ne kas ke Thokar maarī
aurat ko dīvār ne rokā
aur palTā ke farsh pe paTḳhā
dard se pāgal ho ga.ī aurat
māthe se favvāra uchhlā
ḳhuun se kapḌe laal hue
aise meñ hāthoñ ko uThā kar
us ne top kā āḳhirī golā aise dāġhā
allāh tujh ko ġhārat kar de
TūTeñ tere haath aur paañv
aur tujhe bas maut aa jaa.e
ḳhvāb meñ aksar ḳhuuñ kā ik
favvāra chhūTā kartā hai
us aurat kī chīḳheñ ab bhī
merā pīchhā kartī haiñ
barsoñ guzre manzar badlā
parsoñ maiñ aur merī biivī
ulajh rahe the
aisī koī baat nahīñ thī
bas itnā thā
merī dalīleñ aur tāvīleñ
ek ik kar ke
mujh ko jhūTī lagne lagī thiiñ
yak-dam ik mard-e-vahshī ne
mere andar añgḌā.ī lī
haath abhī bas uThne ko thā
yak-dam ik aurat kī chīḳheñ
āh-o-zārī ḳhūnī māthā
dhyān meñ aaya
haath kā maiñ ne mukkā taanā
aur jitnī tāqat thī mujh meñ
utnī hī shiddat se us ko
apne hī nazdīk khaḌī
dīvār pe kas ke maar diyā
chiKHen sun kar dauDa aaya
tin baras ka tha jab main ne
pahli bar ye manzar dekha
gali thappaD ghunsa dhakka
kamre mein ek mard-e-wahshi
aurat ke nazdik khaDa tha
aur use baalon se us ke
khinch raha tha
farsh pe baiThi aurat roti jati thi
main ne dekha
aur aurat ki jaanib lapka
mard ne aurat ke baalon ko
hathon se aazad kiya tha
aurat meri jaanib bhagi
KHauf se aankhon mein aansu the
dahshat se peshab bhi nikla
is se pahle mard hamari jaanib aata
main bhi us aurat ko bachane
rote rote
us ke aage khaDa hua yun
jaise ek diwar khaDi ho
lekin ye diwar bahut hi chhoTi nikli
khinch ke baalon se aurat ko
mard ne kas ke Thokar mari
aurat ko diwar ne roka
aur palTa ke farsh pe paTKHa
dard se pagal ho gai aurat
mathe se fawwara uchhla
KHun se kapDe lal hue
aise mein hathon ko uTha kar
us ne top ka aaKHiri gola aise dagha
allah tujh ko ghaarat kar de
TuTen tere hath aur panw
aur tujhe bas maut aa jae
KHwab mein aksar KHun ka ek
fawwara chhuTa karta hai
us aurat ki chiKHen ab bhi
mera pichha karti hain
barson guzre manzar badla
parson main aur meri biwi
ulajh rahe the
aisi koi baat nahin thi
bas itna tha
meri dalilen aur tawilen
ek ek kar ke
mujh ko jhuTi lagne lagi thin
yak-dam ek mard-e-wahshi ne
mere andar angDai li
hath abhi bas uThne ko tha
yak-dam ek aurat ki chiKHen
aah-o-zari KHuni matha
dhyan mein aaya
hath ka main ne mukka tana
aur jitni taqat thi mujh mein
utni hi shiddat se us ko
apne hi nazdik khaDi
diwar pe kas ke mar diya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.