baghair suraj ke din
baġhair sūraj ke din udāsī kā tarjumāñ hai
bikharte pattoñ ne mujh se pūchhā hai tū kahāñ hai
daraḳht har sū udaas chehre charāġh jaise bujhe hue haiñ
na aks paanī meñ mah-vashoñ ke na raqs dil meñ bahār-e-jahāñ hai
havā ke nauhoñ meñ terī ḳhushbū rachī huī hai
havā ke nauhoñ ne mujh se pūchhā hai tū kahāñ hai
baġhair sūraj ke din mirī maut kā nishāñ hai
sisakte lamhoñ kā kārvāñ hai
darāz rāhoñ ke naqsh raahī jo ajnabī the jo ajnabī haiñ
ḳhamoshiyoñ ke ka.ī alaav jale hue haiñ
sulagtī āñkhoñ ne mujh se pūchhā hai tū kahāñ hai
ye zindagī zindagī kā saaya ki ḳhauf kī koī dāstāñ hai
nafas nafas jis meñ imtihāñ hai
na ab darīche meñ terā chehra na āriz-o-lab kā phuul koī
na terī qāmat kisī qayāmat meñ chupke chupke badal rahī hai
na ab shikāyat na vo hikāyat na vo rivāyat ke silsile haiñ
sitam yahī hai ki ab sitam dil kā ham-zabāñ hai
tum ko logoñ ne mujh se pūchhā hai tū kahāñ hai
baġhair sūraj ke din udāsī kā tarjumāñ hai
baghair suraj ke din udasi ka tarjuman hai
bikharte patton ne mujh se puchha hai tu kahan hai
daraKHt har su udas chehre charagh jaise bujhe hue hain
na aks pani mein mah-washon ke na raqs dil mein bahaar-e-jahan hai
hawa ke nauhon mein teri KHushbu rachi hui hai
hawa ke nauhon ne mujh se puchha hai tu kahan hai
baghair suraj ke din meri maut ka nishan hai
sisakte lamhon ka karwan hai
daraaz rahon ke naqsh rahi jo ajnabi the jo ajnabi hain
KHamoshiyon ke kai alaw jale hue hain
sulagti aankhon ne mujh se puchha hai tu kahan hai
ye zindagi zindagi ka saya ki KHauf ki koi dastan hai
nafas nafas jis mein imtihan hai
na ab dariche mein tera chehra na aariz-o-lab ka phul koi
na teri qamat kisi qayamat mein chupke chupke badal rahi hai
na ab shikayat na wo hikayat na wo riwayat ke silsile hain
sitam yahi hai ki ab sitam dil ka ham-zaban hai
tum ko logon ne mujh se puchha hai tu kahan hai
baghair suraj ke din udasi ka tarjuman hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.