baghdad
hasan jis shahr meñ
tū giilī miTTī se
kabhī kuuze banātā thā
tujhe is shahr meñ miTTī nahīñ
ab sar mileñge
hazāroñ ḳhasta-tan
lāshoñ se ristā ḳhuun
tere shahr kī miTTī ko
yuuñ sairāb kartā hai
ki ab jo tū kabhī
miTTī se khelegā
to har kuuza surāhī jām-o-mīnā
lahū ke rañg ke hoñge
tirī naqsh-o-nigārī
aur tire hāthoñ kī sannā.ī
na in kūzoñ ko baḳhshegī vo hairat
vo nudrat aur vo naqqāshī
jo bas terā hī hissa thī
vo is miTTī kī soñdhī tez ḳhushbū
purāne ḳhuun kī badbū meñ mil kar
aisī badlī hai
tujhe mahsūs hogā
tū kisī marghaT meñ baiThā hai
tujhe dajla kā vo shaffāf paanī yaad hai kyā
vo jis se tere kūzoñ kī ziyā thī
vo jis se pyaas bujhtī thī
tire sūkhe badan kī
vo dajla surḳh hai
ma.asūm bachchoñ ke lahū se
hasan atā yūsuf kī dukāñ ke sāmne
kal bam phaTā thā
na jaane kitne kūza-gar mare
jin ke gharoñ meñ
isī miTTī ke pyāle haiñ magar ḳhālī
taḌaptī bhuuk hai aur lab savālī
na jaane kitne kārī-gar mare
ab kaun gintā hai
hasan is shahr meñ ab koī marjīna nahīñ hai
na duniyā-zād, na hāsib karīmuddīn kā ghar hai
ajā.ib-ghar haiñ na vo dars-gāheñ
kutub-ḳhānoñ meñ lashkar so rahe haiñ
koī zinda nahīñ is shahr meñ
bas maut zinda hai
hasan tū mujh se va.ada kar
ki chāhe kuchh bhī ho jaa.e
palaT kar is shahr meñ
phir kabhī vāpas na aa.egā
hasan jis shahr mein
tu gili miTTi se
kabhi kuze banata tha
tujhe is shahr mein miTTi nahin
ab sar milenge
hazaron KHasta-tan
lashon se rista KHun
tere shahr ki miTTi ko
yun sairab karta hai
ki ab jo tu kabhi
miTTi se khelega
to har kuza surahi jam-o-mina
lahu ke rang ke honge
teri naqsh-o-nigari
aur tere hathon ki sannai
na in kuzon ko baKHshegi wo hairat
wo nudrat aur wo naqqashi
jo bas tera hi hissa thi
wo is miTTi ki sondhi tez KHushbu
purane KHun ki badbu mein mil kar
aisi badli hai
tujhe mahsus hoga
tu kisi marghaT mein baiTha hai
tujhe dajla ka wo shaffaf pani yaad hai kya
wo jis se tere kuzon ki ziya thi
wo jis se pyas bujhti thi
tere sukhe badan ki
wo dajla surKH hai
masum bachchon ke lahu se
hasan ata yusuf ki dukan ke samne
kal bam phaTa tha
na jaane kitne kuza-gar mare
jin ke gharon mein
isi miTTi ke pyale hain magar KHali
taDapti bhuk hai aur lab sawali
na jaane kitne kari-gar mare
ab kaun ginta hai
hasan is shahr mein ab koi marjina nahin hai
na duniya-zad, na hasib karimuddin ka ghar hai
ajaib-ghar hain na wo dars-gahen
kutub-KHanon mein lashkar so rahe hain
koi zinda nahin is shahr mein
bas maut zinda hai
hasan tu mujh se wada kar
ki chahe kuchh bhi ho jae
palaT kar is shahr mein
phir kabhi wapas na aaega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.