bagula
bagūlā kyā hai
jo ḳhāk-dar-ḳhāk shahr-dar-shahr shaḳhs-dar-shaḳhs
'aks-dar-'aks ā.ina-dar-ā.ina chal rahā hai
bahār-dīda ḳhizāñ-rasīda ye peḌ paude bikhar chuke haiñ
jo mere hamrāh chal rahe the na jaane ab vo kidhar ga.e haiñ
hamārī qaus-e-quzah ke sab rang utar chuke haiñ
bagūlā aa ke guzar gayā hai
gulāb tā-der khil chuke haiñ
mirī kahānī ke aham kirdār hazār shakleñ badal chuke haiñ
na jaane ab vo kahāñ milegā
maiñ band āñkhoñ pe apne maazī kī dhuñdlī 'ainak lagā ke dekhtā huuñ
shikasta-pā kī masāfatoñ kā ye satrah saala tavīl mausam guzar gayā hai
simaT gayā hai mire janam-din ke cake par
jaltī bujhtī sham' kī oT meñ
haa.e satrah saala tavīl mausam
bagūlā mujh meñ simaT rahā hai
maiñ apnī āñkhoñ ko mal rahā huuñ
ḳhud apne andar hī ghul rahā huuñ
samajh nahīñ aa rahā hai mujh ko ki
zindagī meñ
ye bārah patthar
girā rahā huuñ
ki chun rahā huuñ
maiñ satrah sāloñ se
tiin tinkoñ pe
chal rahā huuñ
bagula kya hai
jo KHak-dar-KHak shahr-dar-shahr shaKHs-dar-shaKHs
'aks-dar-'aks aaina-dar-aina chal raha hai
bahaar-dida KHizan-rasida ye peD paude bikhar chuke hain
jo mere hamrah chal rahe the na jaane ab wo kidhar gae hain
hamari qaus-e-quzah ke sab rang utar chuke hain
bagula aa ke guzar gaya hai
gulab ta-der khil chuke hain
meri kahani ke aham kirdar hazar shaklen badal chuke hain
na jaane ab wo kahan milega
main band aankhon pe apne mazi ki dhundli 'ainak laga ke dekhta hun
shikasta-pa ki masafaton ka ye satrah sala tawil mausam guzar gaya hai
simaT gaya hai mere janam-din ke cake par
jalti bujhti sham' ki oT mein
hae satrah sala tawil mausam
bagula mujh mein simaT raha hai
main apni aankhon ko mal raha hun
KHud apne andar hi ghul raha hun
samajh nahin aa raha hai mujh ko ki
zindagi mein
ye barah patthar
gira raha hun
ki chun raha hun
main satrah salon se
tin tinkon pe
chal raha hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.