bagula
juun kā taptā mahīna timtimātā āftāb
Dhal chukā hai din ke sāñche meñ jahannam kā shabāb
dopahar ik ātish-e-sayyāl barsātī huī
sīna-e-kohsār meñ laavā sā pighlātī huī
vo jhulastī ghaas vo pagDanDiyāñ pāmāl sī
nahr ke lab ḳhushk se zarroñ kī āñkheñ laal sī
chilchilātī dhuup meñ maidān ko chaḌhtā buḳhār
aah ke mānind uThtā halkā halkā sā ġhubār
dekh vo maidān meñ hai ik bagūlā be-qarār
āñdhiyoñ kī god meñ ho jaise muflis kā mazār
chaak par jaise banā.e jā rahe hoñ zalzale
yā junūñ tai kar rahā ho gardishoñ ke marhale
Dhālnā chāhe zamīñ jis tarah koī āsmāñ
jaise chakkar khā ke nikle top ke muñh se dhuāñ
mil rahā ho jis tarah josh-e-baġhāvat ko farāġh
jañg chhiḌ jaane pe jaise ek leader kā dimāġh
ḳhashmgīñ abrū pe Daale ḳhāk-ālūda naqāb
jañgaloñ kī raah se aa.e safīr-e-inqalāb
yuuñ bagūle meñ haiñ tapte surḳh zarre be-qarār
jis tarah aflās ke dil meñ baġhāvat ke sharār
kas qadar āzād hai ye rūh-e-sahrā ye bhī dekh
kas tarah zarroñ meñ hai tūfān barpā ye bhī dekh
uTh bagūle kī tarah maidān meñ gaatā nikal
zindagī kī ruuh har zarre meñ dauḌātā nikal
jun ka tapta mahina timtimata aaftab
Dhal chuka hai din ke sanche mein jahannam ka shabab
dopahar ek aatish-e-sayyal barsati hui
sina-e-kohsar mein lawa sa pighlati hui
wo jhulasti ghas wo pagDanDiyan pamal si
nahr ke lab KHushk se zarron ki aankhen lal si
chilchilati dhup mein maidan ko chaDhta buKHar
aah ke manind uThta halka halka sa ghubar
dekh wo maidan mein hai ek bagula be-qarar
aandhiyon ki god mein ho jaise muflis ka mazar
chaak par jaise banae ja rahe hon zalzale
ya junun tai kar raha ho gardishon ke marhale
Dhaalna chahe zamin jis tarah koi aasman
jaise chakkar kha ke nikle top ke munh se dhuan
mil raha ho jis tarah josh-e-baghawat ko faragh
jang chhiD jaane pe jaise ek leader ka dimagh
KHashmgin abru pe Dale KHak-aluda naqab
jangalon ki rah se aae safir-e-inqalab
yun bagule mein hain tapte surKH zarre be-qarar
jis tarah aflas ke dil mein baghawat ke sharar
kas qadar aazad hai ye ruh-e-sahra ye bhi dekh
kas tarah zarron mein hai tufan barpa ye bhi dekh
uTh bagule ki tarah maidan mein gata nikal
zindagi ki ruh har zarre mein dauData nikal
- Book : meri behtareen nazam (Pg. 48)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.