bagula
maiñ
ek bagūle meñ rahtā huuñ
mujhe nahīñ ma.alūm
maiñ us ke andar kaise aa gayā
bahut tez ghūmtā hai ye
ek pal bhī nahīñ ruktā
tanhā kar detā hai
ye bagūlā
kisī ko bulā bhī nahīñ sakte
is bagūle ke andar
ek chakkar meñ rahte hue
kuchh bhī ma.alūm nahīñ hotā
patā hī nahīñ chaltā
bagūlā ḳhushī kā hai yā ġham kā
ek taraf ho jaao
maiñ
tumhāre qarīb se guzar rahā huuñ
main
ek bagule mein rahta hun
mujhe nahin malum
main us ke andar kaise aa gaya
bahut tez ghumta hai ye
ek pal bhi nahin rukta
tanha kar deta hai
ye bagula
kisi ko bula bhi nahin sakte
is bagule ke andar
ek chakkar mein rahte hue
kuchh bhi malum nahin hota
pata hi nahin chalta
bagula KHushi ka hai ya gham ka
ek taraf ho jao
main
tumhaare qarib se guzar raha hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.