bagule
mirī āñkhoñ ke sahrā meñ samundar thā
ubhartī raqs kartī Dūbtī thiiñ us meñ jal-pariyāñ
jazīre the zamurrad ke
fazā.eñ vajd-āvar mushk-āgīñ ambarīñ thiiñ
na jaane kaun se ātish-fishāñ pinhāñ the dāman meñ zamāne ke
samundar ko badal kar rakh diyā sahrā meñ ḳhvābīda bagūloñ ne
meri aankhon ke sahra mein samundar tha
ubharti raqs karti Dubti thin us mein jal-pariyan
jazire the zamurrad ke
fazaen wajd-awar mushk-agin ambarin thin
na jaane kaun se aatish-fishan pinhan the daman mein zamane ke
samundar ko badal kar rakh diya sahra mein KHwabida bagulon ne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.