bahadur-shah zafar
ishrat-e-dahr se vāqif bhī thā begāna bhī
terī shāhī meñ thī ik shān-e-faqīrāna bhī
zohd-o-pīrī meñ bhī ik jur.at-e-rindāna thī
sāmne maut ke tadbīr-e-harīfāna thī
tū ne ḳhud apne vatan ko kabhī rusvā na kiyā
tū ne to qaum ke nāmūs kā saudā na kiyā
tū bhī ehsās ko chāñdī se kuchal saktā thā
tū bhī mausam kī tarah rang badal saktā thā
tū bhī kyā baat thī ġhairat kī tijārat kartā
aish ke vāste īmān ko ġhārat kartā
tū bhī kyā baat thī fitrat ko ḳhafā kar detā
sunnat-e-jāfar-o-sādiq bhī adā kar detā
tū magar kab thā kisī rāj-dulāre kī tarah
āḳhirī vaqt meñ TuuTā to sitāre kī tarah
soz-e-pinhāñ ko tarab-ḳhez banāyā tū ne
har tabāhī ko kaleje se lagāyā tū ne
har ġham-e-dahr ko mehmān kiyā hai tū ne
puurī ik nasl ko qurbān kiyā hai tū ne
dushman-e-dīñ ne kiye tere asar ke TukḌe
daar par khīñch diye tere jigar ke TukḌe
saare aalam ne tire shauq kā aalam dekhā
ya.anī qurbānī-e-paiham ko mujassam dekhā
bārish-e-nūr to gulshan meñ rahī shaam se kyā
zindagī raqs to kartī rahī anjām se kyā
kitnī vus.at tire jazbe meñ tire ḳhuun meñ hai
bazm dehlī meñ thī ḳhalvat tirī rangūn meñ hai
tere andāz chale haiñ sahar-o-shām ke saath
tere armān rahe gardish-e-ayyām ke saath
terī betābī-e-dil paikar-e-gul tak pahuñchī
terī āvāz thī jo bose ke dil tak pahuñchī
tū ne dīvānoñ ko ik jazba-e-vahdat baḳhshā
tere marqad ne unheñ shauq-e-shahādat baḳhshā
ye haqīqat bhī khulī rah ga.ī duniyā taktī
aadmī martā hai tahrīk nahīñ mar saktī
tere anjām kā charchā to nahīñ kar saktā
bad-nasībī kā maiñ shikva to nahīñ kar saktā
saltanat rah na ga.ī us kā bharosā kyā thā
jo milī auroñ se us chiiz ko samjhā kyā thā
den hai tere lahū kī tirā fan qabze meñ
aaj bhī saltanat-e-sher-o-suḳhan qabze meñ
jang meñ haar ke bhī fan meñ 'zafar' kyā kahiye
shab ke hāthoñ se ye tanzīm-e-sahar kyā kahiye
tujh ko andhā to kiyā miT na sakā nūr-e-kalām
ab bhī chauñkātā hai insāñ ko tirā soz-e-kalām
rāgnī ḳhuun meñ apne hī Dubo kar rakh dī
zindagī sher-o-suḳhan meñ bhī samo kar rakh dī
'zauq' se baḌh ke tire sher meñ ra.anā.ī hai
'dard' se baḌh ke tire dard meñ gahrā.ī hai
hashr tak yaad rahegā ye hai taqdīr tirī
sāhib-e-dil kī nigāhoñ meñ hai tasvīr tirī
terī satvat pe na shāhī pe qalam uTThā hai
ek insāñ kī tabāhī pe qalam uTThā hai
ishrat-e-dahr se waqif bhi tha begana bhi
teri shahi mein thi ek shan-e-faqirana bhi
zohd-o-piri mein bhi ek jurat-e-rindana thi
samne maut ke tadbir-e-harifana thi
tu ne KHud apne watan ko kabhi ruswa na kiya
tu ne to qaum ke namus ka sauda na kiya
tu bhi ehsas ko chandi se kuchal sakta tha
tu bhi mausam ki tarah rang badal sakta tha
tu bhi kya baat thi ghairat ki tijarat karta
aish ke waste iman ko ghaarat karta
tu bhi kya baat thi fitrat ko KHafa kar deta
sunnat-e-jafar-o-sadiq bhi ada kar deta
tu magar kab tha kisi raj-dulare ki tarah
aaKHiri waqt mein TuTa to sitare ki tarah
soz-e-pinhan ko tarab-KHez banaya tu ne
har tabahi ko kaleje se lagaya tu ne
har gham-e-dahr ko mehman kiya hai tu ne
puri ek nasl ko qurban kiya hai tu ne
dushman-e-din ne kiye tere asar ke TukDe
dar par khinch diye tere jigar ke TukDe
sare aalam ne tere shauq ka aalam dekha
yani qurbani-e-paiham ko mujassam dekha
barish-e-nur to gulshan mein rahi sham se kya
zindagi raqs to karti rahi anjam se kya
kitni wusat tere jazbe mein tere KHun mein hai
bazm dehli mein thi KHalwat teri rangun mein hai
tere andaz chale hain sahar-o-sham ke sath
tere arman rahe gardish-e-ayyam ke sath
teri betabi-e-dil paikar-e-gul tak pahunchi
teri aawaz thi jo bose ke dil tak pahunchi
tu ne diwanon ko ek jazba-e-wahdat baKHsha
tere marqad ne unhen shauq-e-shahadat baKHsha
ye haqiqat bhi khuli rah gai duniya takti
aadmi marta hai tahrik nahin mar sakti
tere anjam ka charcha to nahin kar sakta
bad-nasibi ka main shikwa to nahin kar sakta
saltanat rah na gai us ka bharosa kya tha
jo mili auron se us chiz ko samjha kya tha
den hai tere lahu ki tera fan qabze mein
aaj bhi saltanat-e-sher-o-suKHan qabze mein
jang mein haar ke bhi fan mein 'zafar' kya kahiye
shab ke hathon se ye tanzim-e-sahar kya kahiye
tujh ko andha to kiya miT na saka nur-e-kalam
ab bhi chaunkata hai insan ko tera soz-e-kalam
ragni KHun mein apne hi Dubo kar rakh di
zindagi sher-o-suKHan mein bhi samo kar rakh di
'zauq' se baDh ke tere sher mein ranai hai
'dard' se baDh ke tere dard mein gahrai hai
hashr tak yaad rahega ye hai taqdir teri
sahib-e-dil ki nigahon mein hai taswir teri
teri satwat pe na shahi pe qalam uTTha hai
ek insan ki tabahi pe qalam uTTha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.