bahadur-shah-zafar ki yaad mein
sabā ye rūh-e-'zafar' kā payām laa.ī hai
ki saltanat se fuzūñ ishq kī gadā.ī hai
ġhurūr-e-fat.h ko bhī laḌkhaḌā diyā jis ne
tire ḳhulūs ne aisī shikast khaa.ī hai
kise ḳhabar hai ki arz-e-vatan pe kyā guzrī
ki tujh ko gosha-e-ġhurbat meñ maut aa.ī hai
mire chaman meñ urūs-e-bahār-e-āzādī
tire mazār pe aañsū bahā ke aa.ī hai
saba ye ruh-e-'zafar' ka payam lai hai
ki saltanat se fuzun ishq ki gadai hai
ghurur-e-fath ko bhi laDkhaDa diya jis ne
tere KHulus ne aisi shikast khai hai
kise KHabar hai ki arz-e-watan pe kya guzri
ki tujh ko gosha-e-ghurbat mein maut aai hai
mere chaman mein urus-e-bahaar-e-azadi
tere mazar pe aansu baha ke aai hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.