bahane DhunDta hun main
bahāne DhūñDhtā huuñ maiñ
ki daftar se zarā jaldī hī uTh jā.ūñ
(mujhe kyā dostoñ se jā ke milnā hai?)
nahīñ
ik dūsre se ham sabhī tañg aa.e baiThe haiñ
(mujhe kyā ghar pahuñchnā hai?)
nahīñ hargiz nahīñ
ulTā
bahāne DhūñDhtā huuñ maiñ
ki jitnā ho sake utnā hī maiñ ghar der se pahuñchūñ
(mujhe hāsil nahīñ kyā biivī bachchoñ kī mohabbat?)
hai, magar phir bhī na jaane kyuuñ
bahāne DhūñDhtā huuñ maiñ
unheñ kuchh arsa ko maiñ bhej duuñ bāhar
kahāñ lekin
nahīñ ma.alūm kuchh mujh ko
to phir kyā merī shāmoñ meñ
ta.alluq kī hañsī aur chaap shāmil hai
nahīñ to
phir mujhe kyā khaa.e jaatā hai
ki maiñ bañdh kar kahīñ bhī rah nahīñ saktā
bahāne DhūñDhtā huuñ
toḌne ko kaun sā bandhan
bahane DhunDhta hun main
ki daftar se zara jaldi hi uTh jaun
(mujhe kya doston se ja ke milna hai?)
nahin
ek dusre se hum sabhi tang aae baiThe hain
(mujhe kya ghar pahunchna hai?)
nahin hargiz nahin
ulTa
bahane DhunDhta hun main
ki jitna ho sake utna hi main ghar der se pahunchun
(mujhe hasil nahin kya biwi bachchon ki mohabbat?)
hai, magar phir bhi na jaane kyun
bahane DhunDhta hun main
unhen kuchh arsa ko main bhej dun bahar
kahan lekin
nahin malum kuchh mujh ko
to phir kya meri shamon mein
talluq ki hansi aur chap shamil hai
nahin to
phir mujhe kya khae jata hai
ki main bandh kar kahin bhi rah nahin sakta
bahane DhunDhta hun
toDne ko kaun sa bandhan
- Book : aazaadii ke baad delhi men urdu nazm (Pg. 349)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.