bahaar aa rahi hai
hamāre makānoñ se uupar se kūñjeñ
junūbī ilāqe se aatī huī chāñd taarā banātī huī
aaj guzreñgī un ke guzarne
masāfat meñ rū-posh hone se ham jaan leñge
kaḌāke kī sardī ga.ī hai bahār aa rahī hai
yūñhī god maañ kī laḌakpan javānī buḌhāpā
bahār aa rahī hai
inhī ruḳh badalte hue raah jaate hue qāfiloñ ko
koī merī jānib se itnā kahe
āne-jāne ke phaile hue qāfile par
kahāñ sard mausam rukegā
kahāñ kis taraf se bahār aa.egī
sabza kin rāstoñ par ugegā
javānī buḌhāpā laḌakpan zamīñ aur maañ
raft ke baad aamad kahāñ hai
hamare makanon se upar se kunjen
junubi ilaqe se aati hui chand tara banati hui
aaj guzrengi un ke guzarne
masafat mein ru-posh hone se hum jaan lenge
kaDake ki sardi gai hai bahaar aa rahi hai
yunhi god man ki laDakpan jawani buDhapa
bahaar aa rahi hai
inhi ruKH badalte hue rah jate hue qafilon ko
koi meri jaanib se itna kahe
aane-jaane ke phaile hue qafile par
kahan sard mausam rukega
kahan kis taraf se bahaar aaegi
sabza kin raston par ugega
jawani buDhapa laDakpan zamin aur man
raft ke baad aamad kahan hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.