bahaar ban ke chali aa ki ja rahi hai bahaar
bahaar ban ke chali aa ki ja rahi hai bahaar
Syed Aabid Ali Aabid
MORE BYSyed Aabid Ali Aabid
faroġh-e-māh se kyā jagmagā rahī hai bahār
guloñ meñ nuur kī sham.eñ jalā rahī hai bahār
zamīn-e-bāġh ko jannat banā rahī hai bahār
sharāb-e-husn ke sāġhar pilā rahī hai bahār
bahār ban ke chalī aa ki jā rahī hai bahār
chaman bahisht hai mauj-e-sharāb zamzam-e-kaif
baras rahī hai gul-e-mudda.ā pe shabnam-e-kaif
yahī nashāt ke din haiñ yahī hai ālam-e-kaif
ki zarra-zarra hai bazm-e-jahāñ kā mahram-e-kaif
bahār ban ke chalī aa ki jā rahī hai bahār
faroġh-e-rang se gulzār sho.ala-zār bhī haiñ
fazā.eñ husn kī nik.hat se mushk-bār bhī haiñ
diloñ meñ dard ke andāz be-qarār bhī haiñ
masarratoñ ke ye din jān-e-rozgār bhī haiñ
bahār ban ke chalī aa ki jā rahī hai bahār
rabāb-e-isq haiñ larzāñ hai ik tarāna-e-nāz
jamī huī hai abhī mahfil-e-shabāna-e-nāz
abhī zabān-e-mohabbat pe hai fasāna-e-nāz
ye tujh se kaun kahe ai nigār-ḳhāna-e-nāz
bahār ban ke chalī aa ki jā rahī hai bahār
ga.ī bahār zabānoñ pe naam baaqī hai
ḳhayāl kī tapish-e-nā-tamām baaqī hai
mai-e-nashāt kā bas ek jaam baaqī hai
faroġh-e-māh kī bas ek shaam baaqī hai
bahār ban ke chalī aa ki jā rahī hai bahār
farogh-e-mah se kya jagmaga rahi hai bahaar
gulon mein nur ki shamen jala rahi hai bahaar
zamin-e-bagh ko jannat bana rahi hai bahaar
sharab-e-husn ke saghar pila rahi hai bahaar
bahaar ban ke chali aa ki ja rahi hai bahaar
chaman bahisht hai mauj-e-sharab zamzam-e-kaif
baras rahi hai gul-e-muddaa pe shabnam-e-kaif
yahi nashat ke din hain yahi hai aalam-e-kaif
ki zarra-zarra hai bazm-e-jahan ka mahram-e-kaif
bahaar ban ke chali aa ki ja rahi hai bahaar
farogh-e-rang se gulzar shoala-zar bhi hain
fazaen husn ki nikhat se mushk-bar bhi hain
dilon mein dard ke andaz be-qarar bhi hain
masarraton ke ye din jaan-e-rozgar bhi hain
bahaar ban ke chali aa ki ja rahi hai bahaar
rabab-e-isq hain larzan hai ek tarana-e-naz
jami hui hai abhi mahfil-e-shabana-e-naz
abhi zaban-e-mohabbat pe hai fasana-e-naz
ye tujh se kaun kahe ai nigar-KHana-e-naz
bahaar ban ke chali aa ki ja rahi hai bahaar
gai bahaar zabanon pe nam baqi hai
KHayal ki tapish-e-na-tamam baqi hai
mai-e-nashat ka bas ek jam baqi hai
farogh-e-mah ki bas ek sham baqi hai
bahaar ban ke chali aa ki ja rahi hai bahaar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.