bahaar-e-shabab
mohtasib ke hosh uḌāne kā zamāna aa gayā
be-jhijak piine pilāne kā zamāna aa gayā
jām-e-ātish-zer-e-pā kī oT le kar sāqiyā
botaloñ meñ Duub jaane kā zamāna aa gayā
kā.enāt-e-hosh par kaalī ghaTā.eñ chhā ga.iiñ
yaum-e-shab-tābī manāne kā zamāna aa gayā
phir ḳhayāl-e-āriz-e-tābāñ ne liiñ añgḌā.iyāñ
raat ko phir din banāne kā zamāna aa gayā
mast phāgun ke jilau meñ sar-phire din aa ga.e
aql ko pāgal banāne kā zamāna aa gayā
ye ghaTā.eñ ye bahāreñ aur ye tanhā.iyāñ
phir kisī ke yaad aane kā zamāna aa gayā
mere gulzār-e-tasavvur meñ bahāreñ aa ga.iiñ
un ko phūloñ meñ basāne kā zamāna aa gayā
mehrbāñ ab dosh par āñchal Thahar saktā nahīñ
valvaloñ ke sar uThāne kā zamāna aa gayā
be-sabab hī chīñ-ba-jabīñ hone kī ghaḌiyāñ aa ga.iiñ
be-irāda muskurāne kā zamāna aa gayā
josh par aa.ī javānī khil uThe āñchal ke phuul
aag paanī meñ lagāne kā zamāna aa gayā
un kī zulf-e-ambarīñ ke sāya-e-pur-nūr meñ
niiñd kī qismat jagāne kā zamāna aa gayā
shāhidān-e-sho.ala-rū ko le uḌā ġhāze kā shauq
aag par paanī chaḌhāne kā zamāna aa gayā
rūThne vaale ba-pās-e-vaqt-o-ādāb-e-shabāb
pichhlī bāteñ bhuul jaane kā zamāna aa gayā
dāġh-e-dil 'fārūq' dikhlā kar sar-e-bazm-e-jamāl
in ko ā.īna banāne kā zamāna aa gayā
mohtasib ke hosh uDane ka zamana aa gaya
be-jhijak pine pilane ka zamana aa gaya
jam-e-atish-zer-e-pa ki oT le kar saqiya
botalon mein Dub jaane ka zamana aa gaya
kaenat-e-hosh par kali ghaTaen chha gain
yaum-e-shab-tabi manane ka zamana aa gaya
phir KHayal-e-ariz-e-taban ne lin angDaiyan
raat ko phir din banane ka zamana aa gaya
mast phagun ke jilau mein sar-phire din aa gae
aql ko pagal banane ka zamana aa gaya
ye ghaTaen ye bahaaren aur ye tanhaiyan
phir kisi ke yaad aane ka zamana aa gaya
mere gulzar-e-tasawwur mein bahaaren aa gain
un ko phulon mein basane ka zamana aa gaya
mehrban ab dosh par aanchal Thahar sakta nahin
walwalon ke sar uThane ka zamana aa gaya
be-sabab hi chin-ba-jabin hone ki ghaDiyan aa gain
be-irada muskurane ka zamana aa gaya
josh par aai jawani khil uThe aanchal ke phul
aag pani mein lagane ka zamana aa gaya
un ki zulf-e-ambarin ke saya-e-pur-nur mein
nind ki qismat jagane ka zamana aa gaya
shahidan-e-shoala-ru ko le uDa ghaze ka shauq
aag par pani chaDhane ka zamana aa gaya
ruThne wale ba-pas-e-waqt-o-adab-e-shabab
pichhli baaten bhul jaane ka zamana aa gaya
dagh-e-dil 'faruq' dikhla kar sar-e-bazm-e-jamal
in ko aaina banane ka zamana aa gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.