bahaar
fasl-e-gul aa.ī chalīñ ThanDī havā.eñ dil-fazā
gosha gosha ban gayā hai baaġh kā jannat-numā
sehn-e-gulshan kī fazā.eñ phir mo.attar ho ga.iiñ
tā.eroñ ke sun ke naġhme ḳhud bhī shāḳheñ so ga.iiñ
ye ravish par phuul haiñ yā husn-e-fitrat jalva-gar
zarra-zarra le rahā hai baaġh kā jis se asar
haañ magar ik dil hai merā jo hai is se be-ḳhabar
kaif-parvar kis qadar haiñ shaam kī dilchaspiyāñ
jannat-e-ahl-e-nazar haiñ sub.h kī rangīniyāñ
raat terī josh-e-kaifiyāt se labrez hai
āshiqoñ ko chāñdnī terī junūñ-añgez hai
aah ye ayyām-e-gul bhī kis qadar haiñ ḳhush-gavār
ya.anī har zarre se duniyā ke ḳhushī hai āshkār
hai magar merā dil-e-sad-chāk ab tak be-qarār
vo nasīm-e-sub.h-gāhī vo tuyūr-e-ḳhush-navā
vo ravish phūloñ bharī aur kaif-āvar vo havā
bulbuloñ ke shor se māmūr hai sehn-e-chaman
ban gayā hai gosha gosha baaġh kā ik anjuman
chashm-e-nargis josh-e-gul se mast hai maḳhmūr hai
dekh kar jis ko dil-e-ġham-dīda bhī masrūr hai
haañ magar merā dil-e-nāshād ġham se chuur hai
vo tabassum terā ai doshīza-e-fasl-e-bahār
bhar diyā phūloñ se tū ne aa ke saarā kohsār
kar diyā faiz-e-qadam ne tere sahrā ko chaman
terī nairangī banī zīnat-fazā-e-anjuman
tū na hotī to na hotī raunaq-e-bazm-e-jahāñ
tū na hotī to na hote husn ke jalve ayaañ
tū ne 'sāqib' ko dikhā.e husn-e-fitrat ke nishāñ
fasl-e-gul aai chalin ThanDi hawaen dil-faza
gosha gosha ban gaya hai bagh ka jannat-numa
sehn-e-gulshan ki fazaen phir moattar ho gain
taeron ke sun ke naghme KHud bhi shaKHen so gain
ye rawish par phul hain ya husn-e-fitrat jalwa-gar
zarra-zarra le raha hai bagh ka jis se asar
han magar ek dil hai mera jo hai is se be-KHabar
kaif-parwar kis qadar hain sham ki dilchaspiyan
jannat-e-ahl-e-nazar hain subh ki ranginiyan
raat teri josh-e-kaifiyat se labrez hai
aashiqon ko chandni teri junun-angez hai
aah ye ayyam-e-gul bhi kis qadar hain KHush-gawar
yani har zarre se duniya ke KHushi hai aashkar
hai magar mera dil-e-sad-chaak ab tak be-qarar
wo nasim-e-subh-gahi wo tuyur-e-KHush-nawa
wo rawish phulon bhari aur kaif-awar wo hawa
bulbulon ke shor se mamur hai sehn-e-chaman
ban gaya hai gosha gosha bagh ka ek anjuman
chashm-e-nargis josh-e-gul se mast hai maKHmur hai
dekh kar jis ko dil-e-gham-dida bhi masrur hai
han magar mera dil-e-nashad gham se chur hai
wo tabassum tera ai doshiza-e-fasl-e-bahaar
bhar diya phulon se tu ne aa ke sara kohsar
kar diya faiz-e-qadam ne tere sahra ko chaman
teri nairangi bani zinat-faza-e-anjuman
tu na hoti to na hoti raunaq-e-bazm-e-jahan
tu na hoti to na hote husn ke jalwe ayan
tu ne 'saqib' ko dikhae husn-e-fitrat ke nishan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.