bahaar
har baar isī tarah se fitrat
sone kī Dalī se Dhāltī hai
sarsoñ kī kalī kī zard mūrat
thāmā hai jise ḳham-e-havā ne
har baar isī tarah se shāḳheñ
khiltī huī koñpleñ uThā.e
rastoñ ke salāḳhchoñ se lag kar
kyā sochtī haiñ ye kaun jaane
har baar isī tarah se būñdeñ
rangoñ bharī badliyoñ se chhan kar
aatī haiñ masāfatoñ pe phaile
tāñbe ke varaq ko ThanThanāne
har saal isī tarah kā mausam
har baar yahī mahaktī duurī
har sub.h yahī kaThor aañsū
rone ke kab ā.eñge zamāne
har bar isi tarah se fitrat
sone ki Dali se Dhaalti hai
sarson ki kali ki zard murat
thama hai jise KHam-e-hawa ne
har bar isi tarah se shaKHen
khilti hui konplen uThae
raston ke salaKHchon se lag kar
kya sochti hain ye kaun jaane
har bar isi tarah se bunden
rangon bhari badliyon se chhan kar
aati hain masafaton pe phaile
tanbe ke waraq ko ThanThanane
har sal isi tarah ka mausam
har bar yahi mahakti duri
har subh yahi kaThor aansu
rone ke kab aaenge zamane
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.