bahaar ka aaKHiri phul
zamāne ne supurd-e-ḳhāk tere kar diye sāthī
na un kī pattiyāñ baaqī na un meñ rang-o-bū baaqī
kabhī ke terī mahfil se mohabbat ke ratan nikle
sitam hai is gulistāñ se tire sab ham-vatan nikle
judā.ī se azīzoñ kī hai be-raunaq jahāñ terā
mohabbat ke fasānoñ se hai ab ḳhālī makāñ terā
na koī ham-navā terā takallum ho to kis se ho
na koī chāhne vaalā tabassum ho to kis se ho
na tere dard meñ koī tire nazdīk aatā hai
na terī be-kasī par ab koī aañsū bahātā hai
tire is baaġh ke taḳhtoñ pe hasrat sī barastī hai
parī-ḳhāna jo thā ik din vo ab ujḌī sī bastī hai
batā ai phuul is jiine meñ phir tujh ko mazā kyā hai
jo sach pūchho to is jiine se mar jaanā hī achchhā hai
judā kar ke tujhe Daalī se ab nīche girātā huuñ
haqīqat ye hai maiñ tujh ko azīzoñ se milātā huuñ
zamane ne supurd-e-KHak tere kar diye sathi
na un ki pattiyan baqi na un mein rang-o-bu baqi
kabhi ke teri mahfil se mohabbat ke ratan nikle
sitam hai is gulistan se tere sab ham-watan nikle
judai se azizon ki hai be-raunaq jahan tera
mohabbat ke fasanon se hai ab KHali makan tera
na koi ham-nawa tera takallum ho to kis se ho
na koi chahne wala tabassum ho to kis se ho
na tere dard mein koi tere nazdik aata hai
na teri be-kasi par ab koi aansu bahata hai
tere is bagh ke taKHton pe hasrat si barasti hai
pari-KHana jo tha ek din wo ab ujDi si basti hai
bata ai phul is jine mein phir tujh ko maza kya hai
jo sach puchho to is jine se mar jaana hi achchha hai
juda kar ke tujhe Dali se ab niche giraata hun
haqiqat ye hai main tujh ko azizon se milata hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.