bahaar ke din
aayā hai bahār kā zamāna
bāġhoñ ke nikhār kā zamāna
kaliyāñ kyā kyā chaTak rahī haiñ
saarī rausheñ mahak rahī haiñ
halkī halkī ye un kī ḳhushbū
phailī huī hai chaman meñ har sū
chiḌiyāñ gaatī haiñ giit pyāre
sunte haiñ chaman meñ phuul saare
shāḳhoñ kā banā liyā hai jhūlā
phūloñ se ladā huā hai jhūlā
koñpal har ik hai kaisī pyārī
sabzī meñ jhalak rahī hai surḳhī
kitnī rāhat-fazā huā hai
goyā jannat kā dar khulā hai
ḳhush ḳhush har ek aadmī hai
har shai meñ balā kī dilkashī hai
ye sub.h kā dil-fareb manzar
ye shaam kā husn rūh-parvar
ye raat ko chāñdnī kā aalam
allāh re be-ḳhudī kā aalam
kaisī dilchasp chāñdnī hai
chādar ik nuur kī tanī hai
har dil meñ umañg kis qadar hai
sab par hī bahār kā asar hai
saḌkoñ pe jo log jā rahe haiñ
ġhazleñ 'afsar' kī gaar rahe haiñ
aaya hai bahaar ka zamana
baghon ke nikhaar ka zamana
kaliyan kya kya chaTak rahi hain
sari raushen mahak rahi hain
halki halki ye un ki KHushbu
phaili hui hai chaman mein har su
chiDiyan gati hain git pyare
sunte hain chaman mein phul sare
shaKHon ka bana liya hai jhula
phulon se lada hua hai jhula
konpal har ek hai kaisi pyari
sabzi mein jhalak rahi hai surKHi
kitni rahat-faza hua hai
goya jannat ka dar khula hai
KHush KHush har ek aadmi hai
har shai mein bala ki dilkashi hai
ye subh ka dil-fareb manzar
ye sham ka husn ruh-parwar
ye raat ko chandni ka aalam
allah re be-KHudi ka aalam
kaisi dilchasp chandni hai
chadar ek nur ki tani hai
har dil mein umang kis qadar hai
sab par hi bahaar ka asar hai
saDkon pe jo log ja rahe hain
ghazlen 'afsar' ki gar rahe hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.