bahaar sab ke liye
surma.ī pahāḌoñ par
ye hare bhare jañgal
shāḳh shāḳh hariyālī
chūmte hue panchhī
chaar sū fazāoñ meñ
zindagī mahaktī hai
phuul muskurāte haiñ
rañg-o-nūr kī chādar
oḌh kar havā niklī
āsmān raushan hai
duur tak zamīñ apnī
baañh khole maañ jaisī
khelte parindoñ ko
pyaar se bulātī hai
titliyoñ ke jhurmuT se
ek ek pagDanDī
be-nazīr lagtī hai
jaise koī maañ beTī
saaf suthre āñgan meñ
chuTkiyoñ se rañgoñ kī
raushnī luTātī huuñ
surma.ī pahāḌoñ ke
mashriqī kināroñ par
raushnī chamaktī hai
zindagī damaktī hai
ye bahār kā mausam
is zamīñ se ugtā hai
is zamīñ kā hissa hai
jis kisī kā jī chāhe
ye bahār le jaa.e
surma.ī pahāḌoñ ke
jañgaloñ kī shādābī
shāḳh shāḳh hariyālī
jis kisī kā jī chāhe
apnī ruuh mahkā.e
surmai pahaDon par
ye hare bhare jangal
shaKH shaKH hariyali
chumte hue panchhi
chaar su fazaon mein
zindagi mahakti hai
phul muskuraate hain
rang-o-nur ki chadar
oDh kar hawa nikli
aasman raushan hai
dur tak zamin apni
banh khole man jaisi
khelte parindon ko
pyar se bulati hai
titliyon ke jhurmuT se
ek ek pagDanDi
be-nazir lagti hai
jaise koi man beTi
saf suthre aangan mein
chuTkiyon se rangon ki
raushni luTati hun
surmai pahaDon ke
mashriqi kinaron par
raushni chamakti hai
zindagi damakti hai
ye bahaar ka mausam
is zamin se ugta hai
is zamin ka hissa hai
jis kisi ka ji chahe
ye bahaar le jae
surmai pahaDon ke
jangalon ki shadabi
shaKH shaKH hariyali
jis kisi ka ji chahe
apni ruh mahkae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.