bahaar
yuuñ mire dil se kheltī hai bahār
jaise tāroñ kī dil-nashīñ chashmak
jis tarah chāñd kī hasīñ kirneñ
nīm-shab gosha-e-gulistāñ meñ
pattī pattī pe naaz se kheleñ
yuuñ mire dil se kheltī hai bahār
jis tarah qurb-e-husn kā ehsās
jaise mahbūb kī nigāh-e-jamīl
dil meñ āñkhoñ kī raah se utre
aur ho jaa.e ruuh meñ tahlīl
yuuñ mire dil se kheltī hai bahār
jaise ulfat ke be-sadā naġhme
jis tarah ġham kī muzmahil tāneñ
dard-e-afsurdagī se uktā kar
sāz-e-hastī se ḳhud-ba-ḳhud ubhreñ
yuuñ mire dil se kheltī hai bahār
jaise āñchal kisī hasīna kā
haule haule uḌā rahī ho nasīm
jis tarah aks-e-hūr se khele
ḳhuld meñ mauj-e-kausar-o-tasnīm
yun mere dil se khelti hai bahaar
jaise taron ki dil-nashin chashmak
jis tarah chand ki hasin kirnen
nim-shab gosha-e-gulistan mein
patti patti pe naz se khelen
yun mere dil se khelti hai bahaar
jis tarah qurb-e-husn ka ehsas
jaise mahbub ki nigah-e-jamil
dil mein aankhon ki rah se utre
aur ho jae ruh mein tahlil
yun mere dil se khelti hai bahaar
jaise ulfat ke be-sada naghme
jis tarah gham ki muzmahil tanen
dard-e-afsurdagi se ukta kar
saz-e-hasti se KHud-ba-KHud ubhren
yun mere dil se khelti hai bahaar
jaise aanchal kisi hasina ka
haule haule uDa rahi ho nasim
jis tarah aks-e-hur se khele
KHuld mein mauj-e-kausar-o-tasnim
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.