bahr-e-gham ka kinara
sab ne mujh se kiyā hai kinārā
sirf terā hai yārab sahārā
ashk-e-ġham yūñhī bahte raheñge
yā rukegā kabhī ġham kā dhārā
merī kashtī hai tūfāñ kī zad meñ
mil gayā bahr-e-ġham kā kinārā
zabt kī bhī koī intihā hai
maiñ kahāñ tak karūñ ġham gavāra
sū-e-manzil baḌhī huuñ maiñ yārab
terī rahmat kā le kar sahārā
kis tarah haal dil kā chhupā.ūñ
jo ho chehre se ġham āshkārā
ham zamāne meñ sab ke haiñ 'nāshād'
aur koī nahīñ hai hamārā
sab ne mujh se kiya hai kinara
sirf tera hai yarab sahaara
ashk-e-gham yunhi bahte rahenge
ya rukega kabhi gham ka dhaara
meri kashti hai tufan ki zad mein
mil gaya bahr-e-gham ka kinara
zabt ki bhi koi intiha hai
main kahan tak karun gham gawara
su-e-manzil baDhi hun main yarab
teri rahmat ka le kar sahaara
kis tarah haal dil ka chhupaun
jo ho chehre se gham aashkara
hum zamane mein sab ke hain 'nashad'
aur koi nahin hai hamara
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.