bahrupiya
anokhā aur nayā ġham shart hai koī
tumhāre ḳhud-kushī karne kī
to phir bhuul jaao
yahāñ to bas vahī ġham haiñ
purāne ġham
ki jin se kaam ye duniyā chalātī aa rahī hai
magar tum ho ki hañs dete ho un par
agar ye ġham tumheñ ġham hī nahīñ lagte
ki mahbūba tumhārī bevafā hai
ki vo bachcha
chhaTī jis kī manānā thī tumheñ aaj
naak meñ hai oxygen tube us ke
to phir ye goliyāñ salfas kī be-kār meñ tum jeb meñ rakkhe hue ho
inheñ jā kar usī kaThiyā meñ rakh aao
ki jis meñ kal hī tum ne saal bhar ke vāste gehūñ bharā hai
anokha aur naya gham shart hai koi
tumhaare KHud-kushi karne ki
to phir bhul jao
yahan to bas wahi gham hain
purane gham
ki jin se kaam ye duniya chalati aa rahi hai
magar tum ho ki hans dete ho un par
agar ye gham tumhein gham hi nahin lagte
ki mahbuba tumhaari bewafa hai
ki wo bachcha
chhaTi jis ki manana thi tumhein aaj
nak mein hai oxygen tube us ke
to phir ye goliyan salfas ki be-kar mein tum jeb mein rakkhe hue ho
inhen ja kar usi kaThiya mein rakh aao
ki jis mein kal hi tum ne sal bhar ke waste gehun bhara hai
- Book : Dukh Naye Kapde Badal Kar (Pg. 118)
- Author :Shariq Kaifi
- Publication : Rekhta Publications (2019)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.