bahs to apni hi nahin
bahs to apnī hai hī nahīñ tāqat vāloñ se
saare da.ave un ke alag haiñ apnī dalīleñ alag sī haiñ
vo kahte haiñ un kā qahr qayāmat ban kar kaḌkegā
ham kahte haiñ maut kā khel hameñ jī jaan se pyārā hai
aur is khel ke hote hue
bastī meñ ujyārā hai
bahs to apni hai hi nahin taqat walon se
sare dawe un ke alag hain apni dalilen alag si hain
wo kahte hain un ka qahr qayamat ban kar kaDkega
hum kahte hain maut ka khel hamein ji jaan se pyara hai
aur is khel ke hote hue
basti mein ujyara hai
- Book : naquush (Pg. 284)
- Edition : 1979
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.