bahta pani
ujle ujle tanāvar tanoñ par thame naḳhl-zār
muntashir in meñ sīmāb-gūñ nau-damīda hilāl an-ginat
be-karānī ke shaffāf zīnoñ pe vo
fāsloñ kā bharam bastiyāñ duur duur
āb-gūñ ik dhundalke meñ lipTī fazā ḳhvāb-gūñ
aur nazar kī pahuñch past-o-bālā meñ be-rok
maiñ ne kahā
kin ke nāmoñ se mansūb hoñge
ye takiye qadīm
shā.iba sā ik ehsās raftār kā
apne hone na hone kā be-sūd dhyān
achānak kahīñ ik darinde kā bain
vahshat-ālūd bad-maza bū amaltās kī
tez jhoñkā sā bhartā uḌaan
jhaaḌ jhankār ke darmiyāñ
par bachātā simaTtā guzartā huā
ik ta.āqub kī dahshat
ki tham jā
kahīñ oḌh le apnā ruup
ek zarb-e-musalsal
numūdār ho jā
magar hai kahāñ jo
numūdār ho ab
ki ham is se aarī hue
ye bhulāvā
panah-gāh-e-iḳhfā kā kotāh-dāman gaḌhā
kitnā pāyāb thā
jab vo miTTī nam-ālūd ab tak
vo uftād-gāh
ilm daar kī
maiñ ne pahchān lī
kaise pahchān lī
garm chhūne meñ ab tak vo sach
aur zaa.il
shikanja sā ehsās kā
roñgTā roñgTā chashm-e-bedār
aur paanī hī paanī
jahāñ tak nazar jaa.e phailā huā
diary
mere purkhoñ kī rūdād
jal-thal zamīñ
āsmāñ ke sivā aur koī
qadam rakhne kī jā nahīñ
tez raftār bachcha
saḌak paar karnā koī khel hai
us kā saaya banī maiñ
ubhartī idhar aur udhar Dūbtī
ujle ujle tanawar tanon par thame naKHl-zar
muntashir in mein simab-gun nau-damida hilal an-ginat
be-karani ke shaffaf zinon pe wo
faslon ka bharam bastiyan dur dur
aab-gun ek dhundalke mein lipTi faza KHwab-gun
aur nazar ki pahunch past-o-baala mein be-rok
main ne kaha
kin ke namon se mansub honge
ye takiye qadim
shaiba sa ek ehsas raftar ka
apne hone na hone ka be-sud dhyan
achanak kahin ek darinde ka bain
wahshat-alud bad-maza bu amaltas ki
tez jhonka sa bharta uDan
jhaD jhankar ke darmiyan
par bachata simaTta guzarta hua
ek taaqub ki dahshat
ki tham ja
kahin oDh le apna rup
ek zarb-e-musalsal
numudar ho ja
magar hai kahan jo
numudar ho ab
ki hum is se aari hue
ye bhulawa
panah-gah-e-iKHfa ka kotah-daman gaDha
kitna payab tha
jab wo miTTi nam-alud ab tak
wo uftad-gah
ilm dar ki
main ne pahchan li
kaise pahchan li
garm chhune mein ab tak wo sach
aur zail
shikanja sa ehsas ka
rongTa rongTa chashm-e-bedar
aur pani hi pani
jahan tak nazar jae phaila hua
diary
mere purkhon ki rudad
jal-thal zamin
aasman ke siwa aur koi
qadam rakhne ki ja nahin
tez raftar bachcha
saDak par karna koi khel hai
us ka saya bani main
ubharti idhar aur udhar Dubti
- Book : Silsila-e-makalmat (Pg. 73)
- Author : Shafique Fatma Shora
- Publication : Educational Publishing House (2006)
- Edition : 2006
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.