bahut laDte ho tum
bahut laḌte ho tum
maiñ bhī tunuk-tābī meñ
ḳhāsī fard huuñ
so ḳhuub jamtī hai baham apnī
maiñ mushkil rāstoñ kī gard
palkoñ par sañbhāle aa.ī huuñ
tum tak
mire nazdīk ke har mantaqe meñ
tum bhī
apne bāloñ kī chāñdī pe itrāte
parāganda mizājī meñ guñdhe
ukhḌe hue tāroñ kī
pagDanDī ke
dil meñ ghūmte ho
mohabbat kī bhaḌak
lafzoñ meñ kam
āñkhoñ kī halchal meñ
ziyāda le ke phirtī huuñ
mire nokīle lahje kī
chubhan ke us taraf dil kī
bahut hī reshmī had tak
tumhārī aañkh jaatī hai
ta.alluq meñ ravādārī kā nam
jaane kahāñ se aatā hai
aur aa ke ham donoñ kī
āvezish kī sab
muñh-zoriyāñ zanjīr kartā hai
suno sab guftugū ke silsile
merī tumhārī ḳhāmushī kī
bhiig se sarsabz rahte haiñ
mirī nazmoñ kā markaz
aaj ke pal kī
sajal duniyā meñ bas tum ho
tumhī se barsar-e-paikār huuñ
aur be-tahāsha multafit bhī
tum ta'āruz ke gudāzoñ meñ
mujhe dekho
maiñ apne dil ke tausan ko
bahut sarpaT bhagātī
ḳhaak ke tūfāñ jagātī
jis gulistāñ kī tamannā kī
Dagar par jā rahī huuñ
us kī had par tum
us kī had par tum
kahīñ ik peḌ ke pahlū meñ
dil ban kar dhaḌakte ho
kahīñ fitrat ke
pech-o-tāb meñ zanjīr ho
aur dhuup kī yalġhār meñ
mere liye chhāñv kā
ik nā-muḳhtatim ehsās bante ho
bahut hī duur se bas
tum hī mujh ko saaf sunte ho
bahut laDte ho tum
main bhi tunuk-tabi mein
KHasi fard hun
so KHub jamti hai baham apni
main mushkil raston ki gard
palkon par sanbhaale aai hun
tum tak
mere nazdik ke har mantaqe mein
tum bhi
apne baalon ki chandi pe itraate
paraganda mizaji mein gundhe
ukhDe hue taron ki
pagDanDi ke
dil mein ghumte ho
mohabbat ki bhaDak
lafzon mein kam
aankhon ki halchal mein
ziyaada le ke phirti hun
mere nokile lahje ki
chubhan ke us taraf dil ki
bahut hi reshmi had tak
tumhaari aankh jati hai
talluq mein rawadari ka nam
jaane kahan se aata hai
aur aa ke hum donon ki
aawezish ki sab
munh-zoriyan zanjir karta hai
suno sab guftugu ke silsile
meri tumhaari KHamushi ki
bhig se sarsabz rahte hain
meri nazmon ka markaz
aaj ke pal ki
sajal duniya mein bas tum ho
tumhi se barsar-e-paikar hun
aur be-tahasha multafit bhi
tum ta'aruz ke gudazon mein
mujhe dekho
main apne dil ke tausan ko
bahut sarpaT bhagati
KHak ke tufan jagati
jis gulistan ki tamanna ki
Dagar par ja rahi hun
us ki had par tum
us ki had par tum
kahin ek peD ke pahlu mein
dil ban kar dhaDakte ho
kahin fitrat ke
pech-o-tab mein zanjir ho
aur dhup ki yalghaar mein
mere liye chhanw ka
ek na-muKHtatim ehsas bante ho
bahut hi dur se bas
tum hi mujh ko saf sunte ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.