bahut se bachchon ka ghar
abbā to chale ga.e haiñ daftar
ammī ko buḳhār aa rahā hai
chhamman to gayā huā hai bāzār
jumman khānā pakā rahā hai
zaibun ko usī kā taaza bachcha
pakkā gaanā sunā rahā hai
amjad sofe par ko.ele se
kaalā totā banā rahā hai
aslam daadī kī le ke tasvīr
us kī moñchheñ ugā rahā hai
tauqīr blade ke kamālāt
qālīn pe aazmā rahā hai
chhe saat tipā.iyāñ milā kar
akbar gaaḌī chalā rahā hai
tasnīm banī huī hai ghoḌā
jo mez pe bhāgā jā rahā hai
'aḳhtar' parde kī jhālroñ se
billī ko dulhan banā rahā hai
nanhā iqbāl leTe leTe
nadī naale bahā rahā hai
sunte haiñ ki anqarīb in kā
ek aur bhī bhaa.ī aa rahā hai
abba to chale gae hain daftar
ammi ko buKHar aa raha hai
chhamman to gaya hua hai bazar
jumman khana paka raha hai
zaibun ko usi ka taza bachcha
pakka gana suna raha hai
amjad sofe par koele se
kala tota bana raha hai
aslam dadi ki le ke taswir
us ki monchhen uga raha hai
tauqir blade ke kamalat
qalin pe aazma raha hai
chhe sat tipaiyan mila kar
akbar gaDi chala raha hai
tasnim bani hui hai ghoDa
jo mez pe bhaga ja raha hai
'aKHtar' parde ki jhaalron se
billi ko dulhan bana raha hai
nanha iqbaal leTe leTe
nadi nale baha raha hai
sunte hain ki anqarib in ka
ek aur bhi bhai aa raha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.