bahut shor hai
bahut shor hai
mātahat laḌkiyāñ mere zaanū pe sajda kareñ
ḳhauf-ālūdgī shor-o-shar kī pazīrā.ī meñ ro paḌe
ye zamīneñ siyah-nasl ghoḌoñ kī āvāz se jāgtī haiñ
chashm-e-shab-kor har chāñdnī-rāt meñ ek jalsa karegī
zamīñ fīl-e-be-zor kī tarah paTtī rahī hai
unhī sā.atoñ meñ ba-shart-e-sikandar koī aa.ine ke barābar milegā
vo hañstī hai aur sāya-e-āfiyat ke tasavvur ko majrūh kartī hai
use fīl-e-be-zor ke sāmne Daal do
us ke chehre ko TuuTe hue aa.ine se musaḳhḳhar karo
vo hañstī hai aur girya-e-nīm-shab ke samundar pe apnā alam kholtī hai
haath jal makḌiyoñ se kurede hue
paañv meñ ghaas lipTī huī
āfiyat hai samundar kī bahtī huī ghaas meñ
āfiyat hai samundar kī āvāz meñ
shor hai
shor meñ āfiyat
mātahat laḌkiyo mere zaanū pe sajda karo
ye zamīneñ siyah-nasl ghoḌoñ kī āvāz se jāgtī haiñ
bahut shor hai
matahat laDkiyan mere zanu pe sajda karen
KHauf-aludgi shor-o-shar ki pazirai mein ro paDe
ye zaminen siyah-nasl ghoDon ki aawaz se jagti hain
chashm-e-shab-kor har chandni-raat mein ek jalsa karegi
zamin fil-e-be-zor ki tarah paTti rahi hai
unhi saaton mein ba-shart-e-sikandar koi aaine ke barabar milega
wo hansti hai aur saya-e-afiyat ke tasawwur ko majruh karti hai
use fil-e-be-zor ke samne Dal do
us ke chehre ko TuTe hue aaine se musaKHKHar karo
wo hansti hai aur girya-e-nim-shab ke samundar pe apna alam kholti hai
hath jal makDiyon se kurede hue
panw mein ghas lipTi hui
aafiyat hai samundar ki bahti hui ghas mein
aafiyat hai samundar ki aawaz mein
shor hai
shor mein aafiyat
matahat laDkiyo mere zanu pe sajda karo
ye zaminen siyah-nasl ghoDon ki aawaz se jagti hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.