bainal-aqwami manzar-nama
khilāḌī rū-ba-rū baiThe haiñ
apnī chaal chalte haiñ
bichhā.ī hai siyāsat kī bisāt aur is pe lāsheñ haiñ
kahīñ maqtūl shaiḳhān-e-haram ke
kahīñ par shaah ke kushte
kahīñ malika ke murde haiñ
kahīñ jamhūriyat ke adh-mūe zaḳhmī karāhe jā rahe haiñ
khilāḌī ta.aziyat ke rañg ko chehre pe malte haiñ
baḌī tahzīb aur shafqat se lāshoñ ko uThāte haiñ
unheñ mālūm hai ye apne mohre kab badalne haiñ
pyādoñ ko kahāñ par gardaneñ apnī kaTānī haiñ
kahāñ par kis tarah ik dūsre ko maat denī hai
bahut arse se saare match hī ab fix hote haiñ
khilaDi ru-ba-ru baiThe hain
apni chaal chalte hain
bichhai hai siyasat ki bisat aur is pe lashen hain
kahin maqtul shaiKHan-e-haram ke
kahin par shah ke kushte
kahin malika ke murde hain
kahin jamhuriyat ke adh-mue zaKHmi karahe ja rahe hain
khilaDi taziyat ke rang ko chehre pe malte hain
baDi tahzib aur shafqat se lashon ko uThate hain
unhen malum hai ye apne mohre kab badalne hain
pyaadon ko kahan par gardanen apni kaTani hain
kahan par kis tarah ek dusre ko mat deni hai
bahut arse se sare match hi ab fix hote hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.