bait-e-ankabut
ye aurat is liye paidā huī hai
ki is ko TukḌe TukḌe kar ke phāñsī par chaḌhāyā jaa.e
ise yūnān ke ik mash.hūr Daaku ke bistar kī zarūrat hai
(vo apne sab shikāroñ kā qadd-o-qāmat isī bistar ke paimāne kī nisbat se ghaTātā kāTtā yā
khīñch kā jabran baḌhātā thaa)
ḳhutūt-e-lab to dekho!
kis tarah simTe hue haiñ, sañg-e-dil
āmiyāna-pan tarāvish kar rahā hai
ye kīna-tūz āñkheñ
in kī gahrā.ī ke kīchaḌ meñ
sunahrī machhliyāñ ġhote lagātī haiñ
rupahlī shāḳh tauba hai ki khultī baañh hai, lekin
koī saaya nahīñ paḌtā!
maiñ apne ḳhol ke andar simaT kar baiTh rahnā chāhtā huuñ
mujhe mīnār kī khiḌkī se jhuk kar jhāñkne kī zarūrat kuchh nahīñ hai
magar vo fāhisha zanjīr-e-dar kī niiñd uḌaa.e jā rahī hai
vo āñkheñ ḳhūbsūrat ban ga.ī haiñ!
mujhe
ḳhamdār zīnoñ se utar kar
nīche aanā hī paḌegā
ye aurat is liye paida hui hai
ki is ko TukDe TukDe kar ke phansi par chaDhaya jae
ise yunan ke ek mashhur Daku ke bistar ki zarurat hai
(wo apne sab shikaron ka qadd-o-qamat isi bistar ke paimane ki nisbat se ghaTata kaTta ya
khinch ka jabran baDhata tha)
KHutut-e-lab to dekho!
kis tarah simTe hue hain, sang-e-dil
aamiyana-pan tarawish kar raha hai
ye kina-tuz aankhen
in ki gahrai ke kichaD mein
sunahri machhliyan ghote lagati hain
rupahli shaKH tauba hai ki khulti banh hai, lekin
koi saya nahin paDta!
main apne KHol ke andar simaT kar baiTh rahna chahta hun
mujhe minar ki khiDki se jhuk kar jhankne ki zarurat kuchh nahin hai
magar wo fahisha zanjir-e-dar ki nind uDae ja rahi hai
wo aankhen KHubsurat ban gai hain!
mujhe
KHamdar zinon se utar kar
niche aana hi paDega
- Book : azadi ke bad urdu nazm (Pg. 579)
- Author : shamim hanfi and mazhar mahdi
- Publication : qaumi council bara-e-farogh urdu (2005)
- Edition : 2005
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.