baiza-e-nur
duur tak
duur phailī huī raat meñ
chāñdnī meñ nahāyā huā
ek shīshe kā ghar
baizā-e-nūr
us ke dīvār-o-dar
tez jāñ-soz ḳhushbū ke par
sabz pattoñ se tar
surḳh gahre gulāboñ se bhīge hue
os kī narm sāñsoñ meñ sīñche hue
duur tak
duur phailī huī raat meñ
chāñdnī kā ye ghar
sub.h tak raat bhar
merā īmān hai
merā imkān hai
dur tak
dur phaili hui raat mein
chandni mein nahaya hua
ek shishe ka ghar
baiza-e-nur
us ke diwar-o-dar
tez jaan-soz KHushbu ke par
sabz patton se tar
surKH gahre gulabon se bhige hue
os ki narm sanson mein sinche hue
dur tak
dur phaili hui raat mein
chandni ka ye ghar
subh tak raat bhar
mera iman hai
mera imkan hai
- Book : (shayeri Nahin hai yeh ) (Pg. 102)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.