bajte hain duhal
qāfile vaalo zarā tez chalo tez chalo
kitne dildār haiñ āġhāz-e-safar ke lamhāt
bām-e-gardūñ se utartī hai sitāroñ kī barāt
apne sho.aloñ se ulajhne lagī tārīḳh kī lau
nūr-afgan haiñ jabīnoñ pe diloñ ke partav
zindagī sajtī hai kis shoḳh adā kā mahmil
ḳham-ba-ḳham rāh-guzāroñ ke dhaḌakne lage dil
vus.at-e-najd meñ bedār huā zauq-e-junūñ
ishq kī nabzoñ meñ bhaḌkī na.e andāz se aag
dil ke har taar pe lahrāte haiñ dahke hue raag
kitnā hai shoḳh-zabāñ kākul-o-ruḳh kā afsūñ
husn ne bhejā hai dīvānoñ ko paiġhām nayā
baḌh ga.ī kah ke sabā tez chalo tez chalo
qāfile vaalo zarā tez chalo tez chalo
baḌhte qadmoñ ke diye jalte chale jaate haiñ
sāñsoñ kī aañch se kohsār gale jaate haiñ
jaras-e-vaqt kī āvāz khilātī hai kañval
mauj-e-anfās hai yā bajte haiñ sīnoñ meñ duhal
hausle shorish-e-tūfāñ ko sadā dete haiñ
qatre ko manzil-e-gauhar kā pata dete haiñ
munjamid lamhoñ ke ḳhirman pe lapakte haiñ sharār
jhilmilātā huā uThtā hai marāhil kā ġhubār
soz-e-pinhāñ kī taḌap kab huī pāband-e-rusūm
kis ko batlā.iye kaliyoñ kī chaTak kā mafhūm
aa.ī āvāz-e-darā tez chalo tez chalo
qāfile vaalo zarā tez chalo tez chalo
qafile walo zara tez chalo tez chalo
kitne dildar hain aaghaz-e-safar ke lamhat
baam-e-gardun se utarti hai sitaron ki baraat
apne shoalon se ulajhne lagi tariKH ki lau
nur-afgan hain jabinon pe dilon ke partaw
zindagi sajti hai kis shoKH ada ka mahmil
KHam-ba-KHam rah-guzaron ke dhaDakne lage dil
wusat-e-najd mein bedar hua zauq-e-junun
ishq ki nabzon mein bhaDki nae andaz se aag
dil ke har tar pe lahraate hain dahke hue rag
kitna hai shoKH-zaban kakul-o-ruKH ka afsun
husn ne bheja hai diwanon ko paigham naya
baDh gai kah ke saba tez chalo tez chalo
qafile walo zara tez chalo tez chalo
baDhte qadmon ke diye jalte chale jate hain
sanson ki aanch se kohsar gale jate hain
jaras-e-waqt ki aawaz khilati hai kanwal
mauj-e-anfas hai ya bajte hain sinon mein duhal
hausle shorish-e-tufan ko sada dete hain
qatre ko manzil-e-gauhar ka pata dete hain
munjamid lamhon ke KHirman pe lapakte hain sharar
jhilmilata hua uThta hai marahil ka ghubar
soz-e-pinhan ki taDap kab hui paband-e-rusum
kis ko batlaiye kaliyon ki chaTak ka mafhum
aai aawaz-e-dara tez chalo tez chalo
qafile walo zara tez chalo tez chalo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.