baKHt-e-bargashta
maiñ zāhir ke safar pe gāmzan kab thā
magar bātin ke pechīda 'ajab kūchoñ se
jab guzrā
har ik dorāhe par
zāhir ta'āqub kar rahā thā
iqtidā-o-rutba-o-sarvat se
merā dāman-e-bosīda pal pal bhar rahā thā
mā-hasal yuuñ hai
mire dast-e-tahī ko
vo mayassar hai
ki jis kī dastyābī ke liye
duniyā pareshāñ aur koshāñ hai
magar maiñ baḳht-e-bargashta
sahar-tā-shām sar-gardāñ
abhī tak sochtā huuñ maiñ
ki yār-e-gum-shuda
vo andarūñ merā kahāñ hai
main zahir ke safar pe gamzan kab tha
magar baatin ke pechida 'ajab kuchon se
jab guzra
har ek dorahe par
zahir ta'aqub kar raha tha
iqtida-o-rutba-o-sarwat se
mera daman-e-bosida pal pal bhar raha tha
ma-hasal yun hai
mere dast-e-tahi ko
wo mayassar hai
ki jis ki dastyabi ke liye
duniya pareshan aur koshan hai
magar main baKHt-e-bargashta
sahar-ta-sham sar-gardan
abhi tak sochta hun main
ki yar-e-gum-shuda
wo andarun mera kahan hai
- Book : Kitab Gumrah Kar Rahi Hai (Pg. 86)
- Author : Shahram Sarmadi
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.