baKHtawar
terī talab meñ merī hoñToñ kī ḳhushk-sālī ne
kitne mausamoñ ke sitam faqat is liye sahe taaki tujhe ḳhabar ho terī talab meñ
kin qurbāniyoñ se guzar kar aanā hai
ai baḳht-e-bahār tujhe ġhair mustaqil chāhne vaalā ḳhvāb-o-ḳhvāhish kī vādiyoñ meñ
ye bhūlā huā hai
tere chehre kā ātish-fishāñ
tere surḳh-o-safed siine kī garmāhaT se be-qābū huā phirtā hai
tujhe kin falsafoñ kī 'ādat thī
tū kin bevaqūfoñ meñ phañs ga.ī hai
tū vo shahkār zehn thī jo gulāb aur ḳhushbū ke darmiyān se metaphor alag kar detī thī
aaj tujh se kapḌoñ kī almārī set nahīñ hotī
ai baḳht-e-'ālam-e-ashyā mujhe yaad hai maiñ ne jab hosh kā shahd chakkhā thā
terā zikr 'azīm hastiyoñ meñ muqaddas bastiyoñ meñ matrūk sahīfoñ meñ aur paiġhambaroñ ke paak
darīchoñ meñ hotā thā
terī mohabbat meñ ġharq tere ahrām par utarte hue ka.ī dīn-dāroñ kī dīniyāt meñ bal aa.e jaate the
aur terī chāhat meñ ūñche gumbadoñ se nikaltī niilī raushnī ke pairavkār ke hukm par
TuuTe tāroñ kī dhaat se tere kangan banvā.e jaate the
mujhe yaad hai vo din terī ḳhudā.ī ke din the
aaj tū apnī kalā.iyoñ meñ kāñch kī chūḌiyāñ pahan kar
apne rutbe kā mazāq banā rahī hai
tū kis shaan kī aulād thī tū kahāñ kī rahne vaalī
tere liye to zindagī ras-bhare añgūroñ pe chahal-qadmī thī
ye kis 'azāb meñ ghūñT ghūñT mar rahī hai
tū ek bevaqūf ke
bachche paidā kar rahī hai
teri talab mein meri honTon ki KHushk-sali ne
kitne mausamon ke sitam faqat is liye sahe taki tujhe KHabar ho teri talab mein
kin qurbaniyon se guzar kar aana hai
ai baKHt-e-bahaar tujhe ghair mustaqil chahne wala KHwab-o-KHwahish ki wadiyon mein
ye bhula hua hai
tere chehre ka aatish-fishan
tere surKH-o-safed sine ki garmahaT se be-qabu hua phirta hai
tujhe kin falsafon ki 'adat thi
tu kin bewaqufon mein phans gai hai
tu wo shahkar zehn thi jo gulab aur KHushbu ke darmiyan se metaphor alag kar deti thi
aaj tujh se kapDon ki almari set nahin hoti
ai baKHt-e-'alam-e-ashya mujhe yaad hai main ne jab hosh ka shahd chakkha tha
tera zikr 'azim hastiyon mein muqaddas bastiyon mein matruk sahifon mein aur paighambaron ke pak
darichon mein hota tha
teri mohabbat mein gharq tere ahram par utarte hue kai din-daron ki diniyat mein bal aae jate the
aur teri chahat mein unche gumbadon se nikalti nili raushni ke pairawkar ke hukm par
TuTe taron ki dhat se tere kangan banwae jate the
mujhe yaad hai wo din teri KHudai ke din the
aaj tu apni kalaiyon mein kanch ki chuDiyan pahan kar
apne rutbe ka mazaq bana rahi hai
tu kis shan ki aulad thi tu kahan ki rahne wali
tere liye to zindagi ras-bhare anguron pe chahal-qadmi thi
ye kis 'azab mein ghunT ghunT mar rahi hai
tu ek bewaquf ke
bachche paida kar rahi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.