bam dhamaka
sarmā kī be-rahm fazā meñ
surḳh lahū ne bahte bahte
hairānī se
taptī huī is ḳhaak ko dekhā
abhī to maiñ in niilī garm ragoñ meñ
kaise dauḌ rahā thā
bujhtī huī ik saañs kī lau ne
apne nanhe jīvan kī
is āḳhirī tez kaTīlī hichkī ko jhaTkā
do ḳhālī nazreñ
duur dhuveñ ke paar
kahīñ kuchh DhūñD rahī thiiñ
abhī abhī to niilā ambar
bāheñ khole tanā khaḌā thā
mandī mandī sī dhuup
yahāñ kone meñ aa kar leT ga.ī thī
phir kis ne is jīte-jāgte
manzar meñ ye aag bharī hai
kaalī fazā meñ uḌte reshe
ādhī-adhūrī be-bas lāsheñ
surḳh lahū ne hairānī se
jale hue manzar ko dekhā
āḳhirī tez kaTīlī hichkī
TuuT rahī thī
sarma ki be-rahm faza mein
surKH lahu ne bahte bahte
hairani se
tapti hui is KHak ko dekha
abhi to main in nili garm ragon mein
kaise dauD raha tha
bujhti hui ek sans ki lau ne
apne nanhe jiwan ki
is aaKHiri tez kaTili hichki ko jhaTka
do KHali nazren
dur dhuwen ke par
kahin kuchh DhunD rahi thin
abhi abhi to nila ambar
bahen khole tana khaDa tha
mandi mandi si dhup
yahan kone mein aa kar leT gai thi
phir kis ne is jite-jagte
manzar mein ye aag bhari hai
kali faza mein uDte reshe
aadhi-adhuri be-bas lashen
surKH lahu ne hairani se
jale hue manzar ko dekha
aaKHiri tez kaTili hichki
TuT rahi thi
- Book : Khawab Ki Hatheli Per (Pg. 137)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.