ban-manus
ban-mānus ke kaale badan par
hiire chamakte haiñ
ban-mānus kī ujlī hañsī se
bachche Darte haiñ
ban-mānus mujh par chhilke pheñktā rahtā hai
barkhā aatī hai aur daane botī hai
jab barkhā aatī hai aur daane botī hai
maiñ apne dhyān ke jañgal meñ
chhup jaatā huuñ
ban-mānus ke kaale badan par hiire chamakte haiñ
ban-mānus kī ujlī hañsī se bachche Darte haiñ
ban-manus ke kale badan par
hire chamakte hain
ban-manus ki ujli hansi se
bachche Darte hain
ban-manus mujh par chhilke phenkta rahta hai
barkha aati hai aur dane boti hai
jab barkha aati hai aur dane boti hai
main apne dhyan ke jangal mein
chhup jata hun
ban-manus ke kale badan par hire chamakte hain
ban-manus ki ujli hansi se bachche Darte hain
- Book : chahaar khvaab (Pg. 47)
- Author : qamar jameel
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.