banaras
bhaTaktī huī vaqt kī ātmā.eñ
tire ghaaT ke pattharoñ kī zabāñ se
yugoñ kī sadāoñ kī sūrat ubhar kar
ghulī jā rahī hai bujhe pāniyoñ meñ
tirī saañs kī shāh-rāhoñ par phūTī
vahī tañg galiyāñ, vo galiyoñ meñ galiyāñ!
ki jaise ragoñ kā bune jaal koī
jahāñ laakh bhaTko, na koī safar ho
safar fāsla hai, safar marhala hai
yahīñ par hayāt aur yahīñ par fanā hai
isī marhale se isii, fāsle se
ik imkān ban kar jo bahtā hai paanī
sabhī apnī apnī qadāmat ke āsār
dhīre se us meñ bahāne lage haiñ
sabhī apnī falak-bos tanhā.ī
tire ufuq par sajāne lage haiñ
koī raag ḳhāmosh gaane lage haiñ
muqaddas bayābān, jismoñ ke markaz!
tirī ruuh ke be-karāñ sard, kone meñ
sadiyāñ ġhalāzat kiye jā rahī haiñ
banāras tirī sab mujarrad adā.eñ
hasīñ maut pā kar jiye jā rahī hai!
bhaTakti hui waqt ki aatmaen
tere ghaT ke pattharon ki zaban se
yugon ki sadaon ki surat ubhar kar
ghuli ja rahi hai bujhe paniyon mein
teri sans ki shah-rahon par phuTi
wahi tang galiyan, wo galiyon mein galiyan!
ki jaise ragon ka bune jal koi
jahan lakh bhaTko, na koi safar ho
safar fasla hai, safar marhala hai
yahin par hayat aur yahin par fana hai
isi marhale se isi, fasle se
ek imkan ban kar jo bahta hai pani
sabhi apni apni qadamat ke aasar
dhire se us mein bahane lage hain
sabhi apni falak-bos tanhai
tere ufuq par sajaane lage hain
koi rag KHamosh gane lage hain
muqaddas bayaban, jismon ke markaz!
teri ruh ke be-karan sard, kone mein
sadiyan ghalazat kiye ja rahi hain
banaras teri sab mujarrad adaen
hasin maut pa kar jiye ja rahi hai!
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.