band dariche
band darīche
jab khulte haiñ
yādoñ kī halkī sī lahr
dil kī chaukhaT par
halke halke dastak detī hai
jaane kyoñ ye man kī kaayā
chanchal chhāyā ban jaatī hai
ek ik naqsh ubhar kar
miT miT jaatā hai
miT miT kar phir
ubhrā jaatā hai
ye sab tasvīreñ haiñ maazī kī
ab in kā rang uḌā jaatā hai
ik vaqt thā
maiñ ne in meñ
dil kā ḳhuun bharā thā
phir bhī jaane kyoñ
ab bhī ye tasvīreñ
jab bhī ubhar kar
miT jaatī haiñ
ḳhuun ke aañsū
rotā huuñ
ehsās ye hotā hai mujh ko
jaise ye tasvīreñ ab sūkhī haiñ
in kī kaayā phīkī hai
maiñ bhī in se kahtā huuñ
jab jab khologe
tum band darīche
sūkhne na do ye tasvīreñ
chāhte ho to aañsū le lo
dil kā dard
ḳhuun kā qatra qatra le lo
ye sab merī yādeñ haiñ
in ke bal par jiitā huuñ
jī kar phir mar jaatā huuñ
aisā lagtā hai
jaise nanhā bachcha
rasta bhūlā ho
aur bhūlī-bhaTkī rāh-guzar se
ghar ko vāpas aatā ho
lekin raah na paatā ho
band dariche
jab khulte hain
yaadon ki halki si lahr
dil ki chaukhaT par
halke halke dastak deti hai
jaane kyon ye man ki kaya
chanchal chhaya ban jati hai
ek ek naqsh ubhar kar
miT miT jata hai
miT miT kar phir
ubhra jata hai
ye sab taswiren hain mazi ki
ab in ka rang uDa jata hai
ek waqt tha
main ne in mein
dil ka KHun bhara tha
phir bhi jaane kyon
ab bhi ye taswiren
jab bhi ubhar kar
miT jati hain
KHun ke aansu
rota hun
ehsas ye hota hai mujh ko
jaise ye taswiren ab sukhi hain
in ki kaya phiki hai
main bhi in se kahta hun
jab jab khologe
tum band dariche
sukhne na do ye taswiren
chahte ho to aansu le lo
dil ka dard
KHun ka qatra qatra le lo
ye sab meri yaaden hain
in ke bal par jita hun
ji kar phir mar jata hun
aisa lagta hai
jaise nanha bachcha
rasta bhula ho
aur bhuli-bhaTki rah-guzar se
ghar ko wapas aata ho
lekin rah na pata ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.