band ghar aur chiDiya
jaarī jā uḌ jā chiḌiyā
us ghar meñ mat aa chiḌiyā
kyā tujh ko ma.alūm nahīñ
ye ghar kab se band paḌā hai
bahut dinoñ ke baa'd ghaḌī-bhar
us ghar kā darvāza khulā hai
aur to us ghar meñ paglī
rahne basne aa.ī hai
chhoḌ ga.e jo us ghar ko
un par hañsne aa.ī hai
jaarī jā uḌ jā chiḌiyā
is ghar meñ mat aa chiḌiyā
abhī añdherā chhā jā.egā
ye ghar tujh ko khā jā.egā
jari ja uD ja chiDiya
us ghar mein mat aa chiDiya
kya tujh ko malum nahin
ye ghar kab se band paDa hai
bahut dinon ke ba'd ghaDi-bhar
us ghar ka darwaza khula hai
aur to us ghar mein pagli
rahne basne aai hai
chhoD gae jo us ghar ko
un par hansne aai hai
jari ja uD ja chiDiya
is ghar mein mat aa chiDiya
abhi andhera chha jaega
ye ghar tujh ko kha jaega
- Book : Lifaafe Mein Raushni (Pg. 152)
- Author :Mohammad Alvi
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.