band haweli
ek havelī band paḌī thī
jaane kab se band paḌī thī
jaane kab tak band rahegī
is ke saare darvāzoñ par
baTvāre ke qufl paḌe the
sannāTe kā shor uThā.e
vīrānī sī guuñj rahī thī
biich havelī ke āñgan ke
būḌhe bargad kī shāḳhoñ par
ḳhālī jhūlā jhuul rahā thā
duur ufuq pe ḳhushbū baiThī
TuuTe bartan joḌ rahī thī
ghar kī saarī dīvāroñ ke
vahshat ke sāzīne the
baañs kī jhāḌū giit sunātī
āñgan āñgan ghuum rahī thī
shāḳh se TuuTe saare patte
piile rang ko dhāre patte
saath havā ke naach rahe the
ghar āngan meñ basne vaale
ik duuje ko Daste Daste
zahrīle nāgoñ kī mānind
phan phulā.e aa khaḌe the
mere kamre kī khiḌkī se
do āñkheñ bhī jhāñk rahī thiiñ
ek haweli band paDi thi
jaane kab se band paDi thi
jaane kab tak band rahegi
is ke sare darwazon par
baTware ke qufl paDe the
sannaTe ka shor uThae
virani si gunj rahi thi
bich haweli ke aangan ke
buDhe bargad ki shaKHon par
KHali jhula jhul raha tha
dur ufuq pe KHushbu baiThi
TuTe bartan joD rahi thi
ghar ki sari diwaron ke
wahshat ke sazine the
bans ki jhaDu git sunati
aangan aangan ghum rahi thi
shaKH se TuTe sare patte
pile rang ko dhaare patte
sath hawa ke nach rahe the
ghar aangan mein basne wale
ek duje ko Daste Daste
zahrile nagon ki manind
phan phulae aa khaDe the
mere kamre ki khiDki se
do aankhen bhi jhank rahi thin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.