bandar wala
Dug Dug Dug Dug kartā aayā
bandar vaalā bandar laayā
haath meñ ik moTā sā DañDā
DanDe meñ ik laal sā jhanDā
kañdhe par mailā sā jholā
pīchhe bandar bholā bholā
bandar ke saath ik bandariyā
pahne hue ik laal ghagariyā
kūchoñ bāzāroñ se guzartā
chauk meñ aayā Dug Dug kartā
dekh ke kuchh logoñ kā jamghaT
us ne khel jamāyā jhaT-paT
jab logoñ ne gherā bāñdhā
chhilne lagā kāñdhe se kāñdhā
le kar DañDā rakh kar jhūlā
bandar vaalā hañs kar bolā
nācho beTā nācho beTā
bandar ne bhī jism sameTā
apne donoñ haath uThā kar
gardan aur kūlhe maTkā kar
jhijkā aur na kuchh sharmāyā
thirak thirak kar naach dikhāyā
dekhiye ab sasurāl meñ jaanā
aur biivī ko saath meñ laanā
biivī pahle to sharmā.ī
phir vo chham-chham kar aa.ī
laḌkoñ ne bandar ko satāyā
bandar ko bhī ġhussa aayā
jhapTā un par DañDā le kar
un ko Darāyā bhapkī de kar
kar ke tamāshe aise aise
sab logoñ se māñge paise
vaqt abhī thā ThanDā ThanDā
chaltā banā le jhūlā DañDā
Dug Dug Dug Dug karta aaya
bandar wala bandar laya
hath mein ek moTa sa DanDa
DanDe mein ek lal sa jhanDa
kandhe par maila sa jhola
pichhe bandar bhola bhola
bandar ke sath ek bandariya
pahne hue ek lal ghagariya
kuchon bazaron se guzarta
chauk mein aaya Dug Dug karta
dekh ke kuchh logon ka jamghaT
us ne khel jamaya jhaT-paT
jab logon ne ghera bandha
chhilne laga kandhe se kandha
le kar DanDa rakh kar jhula
bandar wala hans kar bola
nacho beTa nacho beTa
bandar ne bhi jism sameTa
apne donon hath uTha kar
gardan aur kulhe maTka kar
jhijka aur na kuchh sharmaya
thirak thirak kar nach dikhaya
dekhiye ab sasural mein jaana
aur biwi ko sath mein lana
biwi pahle to sharmai
phir wo chham-chham kar aai
laDkon ne bandar ko sataya
bandar ko bhi ghussa aaya
jhapTa un par DanDa le kar
un ko Daraya bhapki de kar
kar ke tamashe aise aise
sab logon se mange paise
waqt abhi tha ThanDa ThanDa
chalta bana le jhula DanDa
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.