bandhan
mujh meñ ab maiñ nazar aatā nahīñ tujh ko aur tū
dil meñ ye sochtī rahtī hai ki ik din shāyad
merī hastī mujhe tū ne hī vadī.at kī thī
tujh meñ ab tū nazar aatī nahīñ mujh ko aur maiñ
dil meñ ye sochtā rahtā huuñ ki maiñ ne shāyad
tere saa.e se nahīñ tujh se mohabbat kī thī
phir ye bekār sī ik qaid-e-rifāqat kyā hai
tujhe merī to mujhe terī zarūrat kyā hai
mujh mein ab main nazar aata nahin tujh ko aur tu
dil mein ye sochti rahti hai ki ek din shayad
meri hasti mujhe tu ne hi wadiat ki thi
tujh mein ab tu nazar aati nahin mujh ko aur main
dil mein ye sochta rahta hun ki main ne shayad
tere sae se nahin tujh se mohabbat ki thi
phir ye bekar si ek qaid-e-rifaqat kya hai
tujhe meri to mujhe teri zarurat kya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.