banjara
maiñ banjāra
vaqt ke kitne shahroñ se guzrā huuñ
lekin
vaqt ke is ik shahr se jaate jaate muḌ ke dekh rahā huuñ
soch rahā huuñ
tum se merā ye naatā bhī TuuT rahā hai
tum ne mujh ko chhoḌā thā jis shahr meñ aa kar
vaqt kā ab vo shahr bhī mujh se chhūT rahā hai
mujh ko vidā.a karne aa.e haiñ
is nagrī ke saare baasī
vo saare din
jin ke kañdhe par sotī hai
ab bhī tumhārī zulf kī ḳhushbū
saare lamhe
jin ke māthe par raushan
ab bhī tumhāre lams kā Tiikā
nam āñkhoñ se
gum-sum mujh ko dekh rahe haiñ
mujh ko in ke dukh kā patā hai
in ko mere ġham kī ḳhabar hai
lekin mujh ko hukm-e-safar hai
jaanā hogā
vaqt ke agle shahr mujhe ab jaanā hogā
vaqt ke agle shahr ke saare bāshinde
sab din sab rāteñ
jo tum se nā-vāqif hoñge
vo kab merī baat suneñge
mujh se kaheñge
jaao apnī raah lo raahī
ham ko kitne kaam paḌe haiñ
jo biitī so biit ga.ī
ab vo bāteñ kyuuñ dohrāte ho
kañdhe par ye jholī rakkhe
kyuuñ phirte ho kyā paate ho
maiñ be-chāra
ik banjāra
āvāra phirte phirte jab thak jā.ūñgā
tanhā.ī ke Tiile par jā kar baiThūñgā
phir jaise pahchān ke mujh ko
ik banjāra jaan ke mujh ko
vaqt ke agle shahr ke saare nanhe-munne bhole lamhe
nañge paañv
dauḌe dauḌe bhāge bhāge aa jā.eñge
mujh ko gher ke baiTheñge
aur mujh se kaheñge
kyuuñ banjāre
tum to vaqt ke kitne shahroñ se guzre ho
un shahroñ kī koī kahānī hameñ sunāo
un se kahūñgā
nanhe lamho!
ek thī raanī
sun ke kahānī
saare nanhe lamhe
ġhamgīñ ho kar mujh se ye pūchheñge
tum kyuuñ in ke shahr na aa.iiñ
lekin un ko bahlā lūñgā
un se kahūñgā
ye mat pūchho
āñkheñ mūñdo
aur ye socho
tum hotīñ to kaisā hotā
tum ye kahtīñ
tum vo kahtīñ
tum is baat pe hairāñ hotīñ
tum us baat pe kitnī hañstīñ
tum hotīñ to aisā hotā
tum hotīñ to vaisā hotā
dhīre dhīre
mere saare nanhe lamhe
so jā.eñge
aur maiñ
phir haule se uTh kar
apnī yādoñ kī jholī kañdhe par rakh kar
phir chal dūñgā
vaqt ke agle shahr kī jānib
nanhe lamhoñ ko samjhāne
bhūle lamhoñ ko bahlāne
yahī kahānī phir dohrāne
tum hotīñ to aisā hotā
tum hotīñ to vaisā hotā
main banjara
waqt ke kitne shahron se guzra hun
lekin
waqt ke is ek shahr se jate jate muD ke dekh raha hun
soch raha hun
tum se mera ye nata bhi TuT raha hai
tum ne mujh ko chhoDa tha jis shahr mein aa kar
waqt ka ab wo shahr bhi mujh se chhuT raha hai
mujh ko widaa karne aae hain
is nagri ke sare basi
wo sare din
jin ke kandhe par soti hai
ab bhi tumhaari zulf ki KHushbu
sare lamhe
jin ke mathe par raushan
ab bhi tumhaare lams ka Tika
nam aankhon se
gum-sum mujh ko dekh rahe hain
mujh ko in ke dukh ka pata hai
in ko mere gham ki KHabar hai
lekin mujh ko hukm-e-safar hai
jaana hoga
waqt ke agle shahr mujhe ab jaana hoga
waqt ke agle shahr ke sare bashinde
sab din sab raaten
jo tum se na-waqif honge
wo kab meri baat sunenge
mujh se kahenge
jao apni rah lo rahi
hum ko kitne kaam paDe hain
jo biti so bit gai
ab wo baaten kyun dohraate ho
kandhe par ye jholi rakkhe
kyun phirte ho kya pate ho
main be-chaara
ek banjara
aawara phirte phirte jab thak jaunga
tanhai ke Tile par ja kar baiThunga
phir jaise pahchan ke mujh ko
ek banjara jaan ke mujh ko
waqt ke agle shahr ke sare nanhe-munne bhole lamhe
nange panw
dauDe dauDe bhage bhage aa jaenge
mujh ko gher ke baiThenge
aur mujh se kahenge
kyun banjare
tum to waqt ke kitne shahron se guzre ho
un shahron ki koi kahani hamein sunao
un se kahunga
nanhe lamho!
ek thi rani
sun ke kahani
sare nanhe lamhe
ghamgin ho kar mujh se ye puchhenge
tum kyun in ke shahr na aain
lekin un ko bahla lunga
un se kahunga
ye mat puchho
aankhen mundo
aur ye socho
tum hotin to kaisa hota
tum ye kahtin
tum wo kahtin
tum is baat pe hairan hotin
tum us baat pe kitni hanstin
tum hotin to aisa hota
tum hotin to waisa hota
dhire dhire
mere sare nanhe lamhe
so jaenge
aur main
phir haule se uTh kar
apni yaadon ki jholi kandhe par rakh kar
phir chal dunga
waqt ke agle shahr ki jaanib
nanhe lamhon ko samjhane
bhule lamhon ko bahlane
yahi kahani phir dohrane
tum hotin to aisa hota
tum hotin to waisa hota
- Book : Tarkash (Pg. 47)
- Author : Javed Akhtar
- Publication : Star Publications Pvt. Ltd (2008)
- Edition : 2008
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.