ka.ī sadiyoñ se sahrā kī sulagtī ret par tanhā khaḌī maiñ sochtī huuñ
nahīñ koī nahīñ hai
nahīñ koī nahīñ hai jo mire andar bilaktī ḳhāmushī ko thapkiyāñ de kar sulā Daale
mohabbat ok meñ bhar kar pilā Daale
ye kaisī be-niyāzī hai
ki jaltī eḌiyoñ kī siskiyāñ san kar bhī bādal chup rahā hai
ye kaise rat-jage āñkhoñ meñ utre haiñ
ki jin ke silsile qarnoñ pe phaile haiñ
magar maiñ hijr ke mausam liye
kab se
kisī banjar zamīñ ke ḳhvāb kā tāvān bhartī huuñ
kai sadiyon se sahra ki sulagti ret par tanha khaDi main sochti hun
nahin koi nahin hai
nahin koi nahin hai jo mere andar bilakti KHamushi ko thapkiyan de kar sula Dale
mohabbat ok mein bhar kar pila Dale
ye kaisi be-niyazi hai
ki jalti eDiyon ki siskiyan san kar bhi baadal chup raha hai
ye kaise rat-jage aankhon mein utre hain
ki jin ke silsile qarnon pe phaile hain
magar main hijr ke mausam liye
kab se
kisi banjar zamin ke KHwab ka tawan bharti hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.