barahana
farañgī jarīdoñ ke aurāq-e-rañgīn
hañstī, lachaktī, dhaḌaktī, lakīreñ
kaTīle badan teġh kī dhaar jaise!
lahū ras meñ gūñdhe hue jism, resham ke ambār jaise!
nigah jin pe phisle, vo shāne vo bāheñ
mudavvar uThāneñ, munavvar Dhalāneñ,
har ik naqsh meñ ziist kī tāzgī hai
har ik rañg se khaultī ārzūoñ kī aañch aa rahī hai!
ḳhutūt-e-barahana ke in ā.īnoñ meñ
hasīñ paikaroñ ke shaffāf ḳhāke
ki jin ke sajal ruup meñ kheltī haiñ
vo ḳhushiyāñ jo sadiyoñ se bojhal ke ojhal rahī haiñ!
unheñ phūñk degī be-mehr duniyā
farañgī jarīdoñ ke aurāq-e-rañgīn
ko ik baar hasrat se tak lo
phir un ko hifāzat se apne diloñ ke muqaffal darāzoñ meñ rakh lo!
farangi jaridon ke auraq-e-rangin
hansti, lachakti, dhaDakti, lakiren
kaTile badan tegh ki dhaar jaise!
lahu ras mein gundhe hue jism, resham ke ambar jaise!
nigah jin pe phisle, wo shane wo bahen
mudawwar uThanen, munawwar Dhalanen,
har ek naqsh mein zist ki tazgi hai
har ek rang se khaulti aarzuon ki aanch aa rahi hai!
KHutut-e-barahana ke in aainon mein
hasin paikaron ke shaffaf KHake
ki jin ke sajal rup mein khelti hain
wo KHushiyan jo sadiyon se bojhal ke ojhal rahi hain!
unhen phunk degi be-mehr duniya
farangi jaridon ke auraq-e-rangin
ko ek bar hasrat se tak lo
phir un ko hifazat se apne dilon ke muqaffal daraazon mein rakh lo!
- Book : Jalta Hai Badan (Pg. 123)
- Author : Zahid Hasan
- Publication : Apnaidara, Lahore (2002)
- Edition : 2002
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.