barasti barkha
barastī barkhā
hamāre ashkoñ kī āḳhirī yaad ban ke
vīrān regzāroñ
kahīñ pe madfūn shahr kī ziist ke mazāroñ
kahīñ ‘uqūbat-kadoñ meñ
zulm-o-sitam kī suulī pe marne vāloñ kī yādgāroñ ko
tāzgī kā payām degī
barastī barkhā
hamārī rūhoñ ke hādsoñ kī
payāmbar ban ke
aane vaalī sabhī rutoñ se
hamāre ḳhvāboñ kī an-kahī dāstāñ kahegī
barastī barkhā
hamārī be-ḳhvāb ratjagoñ kī asiir bojhal hasīn āñkhoñ
kī kulfatoñ kā nishāñ kahegī
barastī barkhā
bahār-rut meñ hamārā mausam ḳhizāñ kahegī
barasti barkha
hamare ashkon ki aaKHiri yaad ban ke
viran regzaron
kahin pe madfun shahr ki zist ke mazaron
kahin ‘uqubat-kadon mein
zulm-o-sitam ki suli pe marne walon ki yaadgaron ko
tazgi ka payam degi
barasti barkha
hamari ruhon ke hadson ki
payambar ban ke
aane wali sabhi ruton se
hamare KHwabon ki an-kahi dastan kahegi
barasti barkha
hamari be-KHwab ratjagon ki asir bojhal hasin aankhon
ki kulfaton ka nishan kahegi
barasti barkha
bahaar-rut mein hamara mausam KHizan kahegi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.