barf ka aadmi
kuchh baras us paar kā qissa hai
dostoñ kī bazm meñ ik din baḌe dā’ve
se maiñ ne kah diyā thā
dar-asl vo andar se be-tartīb hote haiñ
TuuTe phūTe hote haiñ
apne gharoñ meñ jo har ik shai ko salīqe se sajā rakhte haiñ
shikasta chiiz ho koī
fauran uThā kar pheñk dete haiñ
aur aaj maiñ mahsūs kartā huuñ
idhar kuchh din se mujh meñ bhī
chīzoñ ko salīqe se sajā.e rakhne kī tahrīk paidā ho rahī hai
kuchh baras us par ka qissa hai
doston ki bazm mein ek din baDe da’we
se main ne kah diya tha
dar-asl wo andar se be-tartib hote hain
TuTe phuTe hote hain
apne gharon mein jo har ek shai ko saliqe se saja rakhte hain
shikasta chiz ho koi
fauran uTha kar phenk dete hain
aur aaj main mahsus karta hun
idhar kuchh din se mujh mein bhi
chizon ko saliqe se sajae rakhne ki tahrik paida ho rahi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.